tajassus
kā.enāt-e-zīst par afsurdagī sī chhā ga.ī
fart-e-ġham se dil mirā vīrāniyoñ meñ kho gayā
aur merī bebasī afsūn-e-dil ko pā ga.ī
dekhte hī dekhte kyā jaane ye kyā ho gayā
apnī hairānī meñ koī raah jaise kho gayā
jāda-e-manzil se kosoñ duur be-bazm-e-ḳhayāl
baiThe baiThe maiñ jahāñ meñ ik fasāna ho gayā
kar diyā hai is hujūm-e-kashmakash ne pā.emāl
DhūñDhtā huuñ apne kāshāne meñ vo rūh-e-jamāl
jis ke partav kā hai maz.har ye jahān-e-be-sabāt
kyā mire dil meñ bhī hai kahte haiñ jis ko lā-yazāl
yā faqat majzūb ke vahm-o-gumāñ kī kā.enāt
dard-ras koī nahīñ koī nahīñ hai ġham-gusār
apne be-ma.anī tajassus se maiñ ḳhud huuñ sharmsār
kaenat-e-zist par afsurdagi si chha gai
fart-e-gham se dil mera viraniyon mein kho gaya
aur meri bebasi afsun-e-dil ko pa gai
dekhte hi dekhte kya jaane ye kya ho gaya
apni hairani mein koi rah jaise kho gaya
jada-e-manzil se koson dur be-bazm-e-KHayal
baiThe baiThe main jahan mein ek fasana ho gaya
kar diya hai is hujum-e-kashmakash ne paemal
DhunDhta hun apne kashane mein wo ruh-e-jamal
jis ke partaw ka hai mazhar ye jahan-e-be-sabaat
kya mere dil mein bhi hai kahte hain jis ko la-yazal
ya faqat majzub ke wahm-o-guman ki kaenat
dard-ras koi nahin koi nahin hai gham-gusar
apne be-mani tajassus se main KHud hun sharmsar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.