tajdid
sun rahī ho iiñT patthar ke sarakne kī sadā
TuuTī chhat par baiTh kar ākāsh ko taktī ho kyā
is khañDar ko chhoḌ kar aao chaleñ maidān meñ
us taraf vo jhāḌiyoñ kā jhunD hai hujla-numā
aao us meñ chal ke ham ik dūsre ko dekh leñ
aur dekheñ pattharoñ ke yug meñ kaisā pyaar thā
ghar bane bigḌe, base ujḌe nagar har daur meñ
ek ye jañgal hī aisā hai ki jiyūñ-kā-tyūñ rahā
aao chal kar jhāḌiyoñ ke jhunD meñ so jaa.eñ ham
phir se paane ke liye ik duuje meñ kho jaa.eñ ham
sun rahi ho inT patthar ke sarakne ki sada
TuTi chhat par baiTh kar aakash ko takti ho kya
is khanDar ko chhoD kar aao chalen maidan mein
us taraf wo jhaDiyon ka jhunD hai hujla-numa
aao us mein chal ke hum ek dusre ko dekh len
aur dekhen pattharon ke yug mein kaisa pyar tha
ghar bane bigDe, base ujDe nagar har daur mein
ek ye jangal hi aisa hai ki jiyun-ka-tyun raha
aao chal kar jhaDiyon ke jhunD mein so jaen hum
phir se pane ke liye ek duje mein kho jaen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.