tajziya
kyā ye zarūrī hai
ham saarī manfī bāteñ yaad kareñ
us ne ham se
kab kis moḌ pe kyā chāhā thā
ham ne ḳhud-ġharzī ke thaal meñ
kyā kyā us ko nazr kiyā thā
kis ne jhuuT se
thoḌā sā sach qarz liyā thā
kis kā jazba
vahm kī uun meñ ulajh gayā thā
kab tak is lā-hāsil dukh meñ ḳhud ko ham barbād kareñ
kyā ye zarūrī hai ham saarī manfī bāteñ yaad kareñ
yādeñ
be-imkān fazā meñ
taaza havā bhī lā saktī haiñ
paañv kis kā kis raste par ġhalat uThā thā
kis ne kotāhī maanī thī
kaun apnī zid par āḳhir tak aḌā rahā thā
is kā farq dikhā saktī haiñ
kyoñ phir ham sochoñ kī koī had koī mī.ād kareñ
kyā ye zarūrī hai ham saarī manfī bāteñ yaad kareñ
kya ye zaruri hai
hum sari manfi baaten yaad karen
us ne hum se
kab kis moD pe kya chaha tha
hum ne KHud-gharzi ke thaal mein
kya kya us ko nazr kiya tha
kis ne jhuT se
thoDa sa sach qarz liya tha
kis ka jazba
wahm ki un mein ulajh gaya tha
kab tak is la-hasil dukh mein KHud ko hum barbaad karen
kya ye zaruri hai hum sari manfi baaten yaad karen
yaaden
be-imkan faza mein
taza hawa bhi la sakti hain
panw kis ka kis raste par ghalat uTha tha
kis ne kotahi mani thi
kaun apni zid par aaKHir tak aDa raha tha
is ka farq dikha sakti hain
kyon phir hum sochon ki koi had koi miad karen
kya ye zaruri hai hum sari manfi baaten yaad karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.