tajziya
maiñ tujhe chāhtā nahīñ lekin
phir bhī jab paas tū nahīñ hotī
ḳhud ko kitnā udaas paatā huuñ
gum se apne havās paatā huuñ
jaane kyā dhun samā.ī rahtī hai
ik ḳhamoshī sī chhā.ī rahtī hai
dil se bhī guftugū nahīñ hotī
maiñ tujhe chāhtā nahīñ lekin
maiñ tujhe chāhtā nahīñ lekin
phir bhī rah rah ke mere kānoñ meñ
gūñjtī hai tirī hasīñ āvāz
jaise nādīda koī bajtā saaz
har sadā nāgavār hotī hai
in sukūt-āshnā tarānoñ meñ
maiñ tujhe chāhtā nahīñ lekin
maiñ tujhe chāhtā nahīñ lekin
phir bhī shab kī tavīl ḳhalvat meñ
tere auqāt sochtā huuñ maiñ
terī har baat sochtā huuñ maiñ
kaun se phuul tujh ko bhāte haiñ
rañg kyā kyā pasand aate haiñ
kho sā jaatā huuñ terī jannat meñ
maiñ tujhe chāhtā nahīñ lekin
maiñ tujhe chāhtā nahīñ lekin
phir bhī ehsās se najāt nahīñ
sochtā huuñ to ranj hotā hai
dil ko jaise koī Dubotā hai
jis ko itnā sarāhtā huuñ maiñ
jis ko is darja chāhtā huuñ maiñ
is meñ terī sī koī baat nahīñ
maiñ tujhe chāhtā nahīñ lekin
maiñ tujhe chāhtā nahīñ lekin
phir bhī shab kī tavīl ḳhalvat meñ
tere auqāt sochtā huuñ maiñ
terī har baat sochtā huuñ maiñ
kaun se phuul tujh ko bhāte haiñ
rañg kyā kyā pasand aate haiñ
kho sā jaatā huuñ terī jannat meñ
maiñ tujhe chāhtā nahīñ lekin
maiñ tujhe chāhtā nahīñ lekin
phir bhī ehsās se najāt nahīñ
sochtā huuñ to ranj hotā hai
dil ko jaise koī Dubotā hai
jis ko itnā sarāhtā huuñ maiñ
jis ko is darja chāhtā huuñ maiñ
us meñ terī sī koī baat nahīñ
maiñ tujhe chāhtā nahīñ lekin
main tujhe chahta nahin lekin
phir bhi jab pas tu nahin hoti
KHud ko kitna udas pata hun
gum se apne hawas pata hun
jaane kya dhun samai rahti hai
ek KHamoshi si chhai rahti hai
dil se bhi guftugu nahin hoti
main tujhe chahta nahin lekin
main tujhe chahta nahin lekin
phir bhi rah rah ke mere kanon mein
gunjti hai teri hasin aawaz
jaise nadida koi bajta saz
har sada nagawar hoti hai
in sukut-ashna taranon mein
main tujhe chahta nahin lekin
main tujhe chahta nahin lekin
phir bhi shab ki tawil KHalwat mein
tere auqat sochta hun main
teri har baat sochta hun main
kaun se phul tujh ko bhate hain
rang kya kya pasand aate hain
kho sa jata hun teri jannat mein
main tujhe chahta nahin lekin
main tujhe chahta nahin lekin
phir bhi ehsas se najat nahin
sochta hun to ranj hota hai
dil ko jaise koi Dubota hai
jis ko itna sarahta hun main
jis ko is darja chahta hun main
is mein teri si koi baat nahin
main tujhe chahta nahin lekin
main tujhe chahta nahin lekin
phir bhi shab ki tawil KHalwat mein
tere auqat sochta hun main
teri har baat sochta hun main
kaun se phul tujh ko bhate hain
rang kya kya pasand aate hain
kho sa jata hun teri jannat mein
main tujhe chahta nahin lekin
main tujhe chahta nahin lekin
phir bhi ehsas se najat nahin
sochta hun to ranj hota hai
dil ko jaise koi Dubota hai
jis ko itna sarahta hun main
jis ko is darja chahta hun main
us mein teri si koi baat nahin
main tujhe chahta nahin lekin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.