taKHliq-e-aurat
zarroñ meñ jumbish thī koī chhā.ī thī fazā par mad-hoshī
ik niiñd thī har shai par taarī qudrat bhī thī mahv-e-ḳhāmoshī
raushan na sitāre the uupar vīrān falak kī bastī thī
laala na zamīñ par khiltā thā be-rañg nigār-e-hastī thī
aaheñ na laboñ par aatī thiiñ muztar na tanoñ meñ jāneñ thiiñ
dil meñ na umañgeñ uThtī thiiñ jazbāt kī band zabāneñ thiiñ
thā husn taḳhayyul meñ ab tak ḳhil.at na milā thā sūrat kā
betāb nigāheñ thiiñ saarī vā dar na huā thā jannat kā
2
jab roz-e-azal kī sub.h huī ik nuur kā dariyā lahrāyā
fitrat ke uThe parde saare bedār jahān-e-rāz huā
sāhil kā sukūñ dhāre kī taḌap be-tābiyāñ mauj-e-tūfāñ kī
amrit-bharī shabnam ke qatre rañgīniyāñ bāġh-e-rizvāñ kī
phūloñ kī mahak kundan kī damak bijlī ke sharāroñ kī chamkeñ
shaam aur sahar ke hasīñ jalve tāroñ ke tabassum kī jhalkeñ
ḳhallāq-e-zamāñ ne un sab kā sat khīñch ke miTTī par chhiḌkā
tabqāt-e-zamīñ meñ huī halchal ik phuul kañval kā phabak uThā
phir batn se un ke ik devī paidā huī bazm-e-imkāñ meñ
rakkhā gayā naam aurat us kā ḳhushiyāñ huiiñ bāġh-e-rizvāñ meñ
zarron mein jumbish thi koi chhai thi faza par mad-hoshi
ek nind thi har shai par tari qudrat bhi thi mahw-e-KHamoshi
raushan na sitare the upar viran falak ki basti thi
lala na zamin par khilta tha be-rang nigar-e-hasti thi
aahen na labon par aati thin muztar na tanon mein jaanen thin
dil mein na umangen uThti thin jazbaat ki band zabanen thin
tha husn taKHayyul mein ab tak KHilat na mila tha surat ka
betab nigahen thin sari wa dar na hua tha jannat ka
2
jab roz-e-azal ki subh hui ek nur ka dariya lahraya
fitrat ke uThe parde sare bedar jahan-e-raaz hua
sahil ka sukun dhaare ki taDap be-tabiyan mauj-e-tufan ki
amrit-bhari shabnam ke qatre ranginiyan bagh-e-rizwan ki
phulon ki mahak kundan ki damak bijli ke shararon ki chamken
sham aur sahar ke hasin jalwe taron ke tabassum ki jhalken
KHallaq-e-zaman ne un sab ka sat khinch ke miTTi par chhiDka
tabqat-e-zamin mein hui halchal ek phul kanwal ka phabak uTha
phir batn se un ke ek dewi paida hui bazm-e-imkan mein
rakkha gaya nam aurat us ka KHushiyan huin bagh-e-rizwan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.