tumhāre hoñToñ kī ThanDī ThanDī tilāvateñ
jhuk ke merī āñkhoñ ko chhū rahī haiñ
maiñ apne hoñToñ se chun rahā huuñ tumhārī sāñsoñ kī āyatoñ ko
ki jism ke is hasīn ka.abe pe ruuh sajde bichhā rahī hai
vo ek lamha baḌā muqaddas thā jis meñ tum janm le rahī thiiñ
vo ek lamha baḌā muqaddas thā jis meñ maiñ janm le rahā thā
ye ek lamha baḌā muqaddas hai jis ko ham janm de rahe haiñ
ḳhudā ne aise hī ek lamhe meñ sochā hogā
hayāt taḳhlīq kar ke lamhe ke lams ko jāvedāñ bhī kar de!
tumhaare honTon ki ThanDi ThanDi tilawaten
jhuk ke meri aankhon ko chhu rahi hain
main apne honTon se chun raha hun tumhaari sanson ki aayaton ko
ki jism ke is hasin kabe pe ruh sajde bichha rahi hai
wo ek lamha baDa muqaddas tha jis mein tum janm le rahi thin
wo ek lamha baDa muqaddas tha jis mein main janm le raha tha
ye ek lamha baDa muqaddas hai jis ko hum janm de rahe hain
KHuda ne aise hi ek lamhe mein socha hoga
hayat taKHliq kar ke lamhe ke lams ko jawedan bhi kar de!
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 120)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.