taKHliq ka ek git
pas sahīfoñ meñ paiġhambaroñ ne likhā
ḳhudāvand ne
kā.enāt-e-kabīra kī taḳhlīq ke sātveñ roz
ārām farmāyā thā
sirf chhe roz meñ
kā.enāt-e-kabīra kī taḳhlīq kā ye amal
phir ḳhudā so gayā aur sotā rahā
aur ab
jab se taḳhlīq kā baar uThāyā hai maiñ ne
patā ye chalā
ki mujh meñ vahī kā.enāt-e-kabīra
haule haule javāñ ho rahī hai
dhīre dhīre numū pā rahī hai
qatra qatra mujhe pī rahī hai
ḳhudāvand kī kā.enāt-e-kabīra
mire batn meñ jī rahī hai
jis kī takmīl ke vāste
mujh ko nau roz darkār haiñ
aur phir us ke aage kā saarā safar
be-karāñ dard taḳhlīq kā silsila
aur be-ḳhvāb āñkhoñ meñ ma.asūm maḳhlūq ke
būd-o-nābūd kā zā.icha
vaqt ke vasl aur hijr kā zā.iqa
mere hisse meñ hai
mere hisse kā thā
pas sahifon mein paighambaron ne likha
KHudawand ne
kaenat-e-kabira ki taKHliq ke satwen roz
aaram farmaya tha
sirf chhe roz mein
kaenat-e-kabira ki taKHliq ka ye amal
phir KHuda so gaya aur sota raha
aur ab
jab se taKHliq ka bar uThaya hai main ne
pata ye chala
ki mujh mein wahi kaenat-e-kabira
haule haule jawan ho rahi hai
dhire dhire numu pa rahi hai
qatra qatra mujhe pi rahi hai
KHudawand ki kaenat-e-kabira
mere batn mein ji rahi hai
jis ki takmil ke waste
mujh ko nau roz darkar hain
aur phir us ke aage ka sara safar
be-karan dard taKHliq ka silsila
aur be-KHwab aankhon mein masum maKHluq ke
bud-o-nabud ka zaicha
waqt ke wasl aur hijr ka zaiqa
mere hisse mein hai
mere hisse ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.