taKHliq sher
bahut dinoñ se udaas nazroñ kī rahguzar thī
paḌī thiiñ suunī ufuq kī rāheñ
ki dil kī mahfil meñ
naġhma o naala o navā kī
ajab sī shorish nahīñ huī thī
nazar uThā.ī to duur dhundlī fazāoñ meñ
raushnī kā ik dā.era sā dekhā
laraz ke Thahrā jo dil
taḳhayyul ne apne shahpar fazā meñ khole
ki jaise
parvāz kā sahīfa khule
to niile gagan ke asrār jaag uTTheñ
ki jaise
maah o nujūm kī mamlikat kā rasta koī batā de
fazā se parde koī uThā de
ki jaise
ik be-kanār sahrā meñ
mauj-e-reg-e-ravāñ nuqūsh-e-navī banā de
ki jaise tā.er-e-havā kī lahroñ pe, jumbish-e-par se
dāstān-e-vajūd likh deñ
ki jaise
tārīk shab ke dāman meñ
Dast-e-qudrat, charāġh-e-dil yak-ba-yak jalā de
bahut dinon se udas nazron ki rahguzar thi
paDi thin suni ufuq ki rahen
ki dil ki mahfil mein
naghma o nala o nawa ki
ajab si shorish nahin hui thi
nazar uThai to dur dhundli fazaon mein
raushni ka ek daera sa dekha
laraz ke Thahra jo dil
taKHayyul ne apne shahpar faza mein khole
ki jaise
parwaz ka sahifa khule
to nile gagan ke asrar jag uTThen
ki jaise
mah o nujum ki mamlikat ka rasta koi bata de
faza se parde koi uTha de
ki jaise
ek be-kanar sahra mein
mauj-e-reg-e-rawan nuqush-e-nawi bana de
ki jaise taer-e-hawa ki lahron pe, jumbish-e-par se
dastan-e-wajud likh den
ki jaise
tarik shab ke daman mein
Dast-e-qudrat, charagh-e-dil yak-ba-yak jala de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.