taKHliq
ye kāġhaz par mire dil kā lahū hai
ye nazmeñ ḳhuun se likkhī haiñ maiñ ne
ye yādeñ haiñ mire biite dinoñ kī
ye sarmāya hai merī zindagī kā
hai lafzoñ meñ muqaffal ruuh merī
jo mere baa'd bhī zinda rahegī
mirī taḳhlīq pā.inda rahegī
ye kaghaz par mere dil ka lahu hai
ye nazmen KHun se likkhi hain main ne
ye yaaden hain mere bite dinon ki
ye sarmaya hai meri zindagi ka
hai lafzon mein muqaffal ruh meri
jo mere ba'd bhi zinda rahegi
meri taKHliq painda rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.