takmil
kahīñ pe duur kisī ajnabī sī ghāTī meñ
kisī kā ek hasīñ shāhkār ho jaise
musavvirī kī ik umda misāl lagtī thī
koī inā.yat-e-parvar-digār ho jaise
banāne vaale ne us ko banā ke chhoḌā thā
aur us ke chehre pe ik naam likh ke chhoḌā thā
na dī zabāñ na koī ā.īna diyā us ko
banā ke but yuuñ zamīñ par sajā diyā us ko
use zamāne kī bātoñ se kuchh gila hī na thā
sivā.e jism ke ehsās kuchh milā hī na thā
phir ek roz kisī narm narm jhoñke ne
kahā ye kaan meñ aa kar bahut hī chupke se
zarā sā āñkhoñ ko kholo to tum ko dikhlā.ūñ
mahaktī zindagī kaise hai tum ko sikhlā.ūñ
kahāñ se aa.ī ho kab se yahāñ khaḌī ho tum
mire vajūd ke har rañg se juḌī ho tum
ye gungunātī huī vādiyāñ ye gul-kārī
nadī kī jhūmtī gaatī huī ye kilkārī
ye dhuup chhāñv ke bādal ye maḳhmalī ehsās
machal rahe haiñ bahut pyaar se tumhāre paas
mahakte dil haiñ yahāñ ḳhushbu-e-mohabbat se
ḳhudā ke nuur se paidā huī harārat se
havā kā jhoñkā jo kānoñ meñ us ke bol gayā
to us ne chauñk ke palkoñ ko apnī khol diyā
ye vādiyoñ kā hasīñ rañg us ne jab dekhā
huī ye soch ke hairān us ne ab dekhā
badan meñ jitne the ehsās vo machalne lage
nazāre us kī nigāhoñ ke saath chalne lage
ye rañg o nuur ke qisse samajh meñ aane lage
hasīn āñkhoñ meñ kuchh ḳhvāb jhilmilāne lage
aur aise ho ke mukammal vo husn kī mūrat
kisī ke pyaar kī ḳhushbū se ban ga.ī aurat
kahin pe dur kisi ajnabi si ghaTi mein
kisi ka ek hasin shahkar ho jaise
musawwiri ki ek umda misal lagti thi
koi inayat-e-parwar-digar ho jaise
banane wale ne us ko bana ke chhoDa tha
aur us ke chehre pe ek nam likh ke chhoDa tha
na di zaban na koi aaina diya us ko
bana ke but yun zamin par saja diya us ko
use zamane ki baaton se kuchh gila hi na tha
siwae jism ke ehsas kuchh mila hi na tha
phir ek roz kisi narm narm jhonke ne
kaha ye kan mein aa kar bahut hi chupke se
zara sa aankhon ko kholo to tum ko dikhlaun
mahakti zindagi kaise hai tum ko sikhlaun
kahan se aai ho kab se yahan khaDi ho tum
mere wajud ke har rang se juDi ho tum
ye gungunati hui wadiyan ye gul-kari
nadi ki jhumti gati hui ye kilkari
ye dhup chhanw ke baadal ye maKHmali ehsas
machal rahe hain bahut pyar se tumhaare pas
mahakte dil hain yahan KHushbu-e-mohabbat se
KHuda ke nur se paida hui hararat se
hawa ka jhonka jo kanon mein us ke bol gaya
to us ne chaunk ke palkon ko apni khol diya
ye wadiyon ka hasin rang us ne jab dekha
hui ye soch ke hairan us ne ab dekha
badan mein jitne the ehsas wo machalne lage
nazare us ki nigahon ke sath chalne lage
ye rang o nur ke qisse samajh mein aane lage
hasin aankhon mein kuchh KHwab jhilmilane lage
aur aise ho ke mukammal wo husn ki murat
kisi ke pyar ki KHushbu se ban gai aurat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.