takmil
''tumheñ sābit karnā hogā ki tum ho''! us ne mujhe jhinjhoḌā
''magar maiñ ye sābit nahīñ kar saktī'' maiñ ne ehtijāj kiyā
us ne mujhe muTThī meñ bhar kar zamīñ par bikher diyā aur ḳhushī se chillāyā! ''tum sabza hī sabza ho, rañg hī rañg ho''
''Thahro! zarā socho! mujhe jald ḳhizāñ ke nādīda haath ma.adūm kar deñge...... tum ye sābit nahīñ kar sakoge ki maiñ hūñ''
us ne ghabrā kar mujhe phir sameT liyā aur zarā tavaqquf ke ba.ad fazā meñ uchhāl diyā aur pur-josh ho kar bolā
''dekhā tum raushnī hī raushnī ho''
''hāñ magar tārīkī mujhe nigalne ko betāb hai! maiñ ne kahā thā nā maiñ ḳhud ko sābit karne se qāsir hūñ''
us ne hirāsāñ ho kar mujhe muTThī meñ jakaḌ liyaa....... nā-tamāmī ke dard se merī āñkheñ chhalak paḌīñ
us ne mujhe bahne ke liye nasheb meñ chhoḌ diyā aur muskurāyā
''dekhā tum maaya hī maaya ho''
''mujhe vaqt kī tez dhuup jald ḳhushk kar degī'' maiñ ne duhā.ī dī
vo ġhusse se kāñpne lagaa.... phir mujhe sāmne rakh kar giḌgiḌāyā
''ḳhud ko sābit karo ḳhudā-rā nahīñ to maiñ miT jā.ūñgā!
hamārī takmīl zarūrī hai''
''nā-guzīr hai! maiñ ne tā.īd kī
aao maiñ tumheñ zeb-e-tan kar luuñ! nahīñ to ham tasdīq ke haq se mahrūm ho jā.eñge, ham kabhī sābit na ho sakeñge''
''hāñ hameñ apnī tasdīq karnī hogī'' us ne mujh meñ zam hote hue kahā
......aur phir ham ne dekhā... rañg... roshnī... sabza... maya... husn aur hairat sab hamāre butūn kī jāgīreñ thiiñ
bāhar to sirf dhuāñ thā
tumhen sabit karna hoga ki tum ho! us ne mujhe jhinjhoDa
magar main ye sabit nahin kar sakti main ne ehtijaj kiya
us ne mujhe muTThi mein bhar kar zamin par bikher diya aur KHushi se chillaya! tum sabza hi sabza ho, rang hi rang ho
Thahro! zara socho! mujhe jald KHizan ke nadida hath madum kar denge tum ye sabit nahin kar sakoge ki main hun
us ne ghabra kar mujhe phir sameT liya aur zara tawaqquf ke baad faza mein uchhaal diya aur pur-josh ho kar bola
dekha tum raushni hi raushni ho
han magar tariki mujhe nigalne ko betab hai! main ne kaha tha na main KHud ko sabit karne se qasir hun
us ne hirasan ho kar mujhe muTThi mein jakaD liya na-tamami ke dard se meri aankhen chhalak paDin
us ne mujhe bahne ke liye nasheb mein chhoD diya aur muskuraya
dekha tum maya hi maya ho
mujhe waqt ki tez dhup jald KHushk kar degi main ne duhai di
wo ghusse se kanpne laga phir mujhe samne rakh kar giDgiDaya
KHud ko sabit karo KHuda-ra nahin to main miT jaunga!
hamari takmil zaruri hai
na-guzir hai! main ne taid ki
aao main tumhein zeb-e-tan kar lun! nahin to hum tasdiq ke haq se mahrum ho jaenge, hum kabhi sabit na ho sakenge
han hamein apni tasdiq karni hogi us ne mujh mein zam hote hue kaha
aur phir hum ne dekha rang roshni sabza maya husn aur hairat sab hamare butun ki jagiren thin
bahar to sirf dhuan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.