talash
akele baiTh kar jab bhī
darīcha fikr kā kholūñ
maiñ apne aap se bolūñ
sabā ḳhushbū gulāboñ kī
churā laatī hai gulshan se
shu'ā'eñ nuur kī
bātin ke ā.īne pe
aa paḌtī haiñ rauzan se
to is 'ālam meñ ik chehra
hijāboñ se nikal kar
dil ke āñgan meñ utartā hai
hazāroñ qāfile yādoñ ke
us ke saath aate haiñ
vale ba-īñ-hama
kitne hī andeshoñ ko
apne saath laate haiñ
vo ik chehra
kabhī jo chāñd ban kar muskurātā hai
mirī rātoñ kī tārīkī miTātā hai
kabhī sad.hā sitāroñ kī tarah vo TimTimātā hai
sar-e-nok-e-mizha yuuñ jhilmilātā hai
vo ik chehra
kabhī bādal kabhī bārāñ
kabhī vaslash kabhī hijrāñ
kabhī mushkil kabhī āsāñ
vo har ik rang meñ har aañ
yahāñ bhī vo vahāñ bhī vo
aur un ke darmiyāñ bhī vo
maiñ jaatā huuñ jahāñ bhī vo
nihāñ bhī vo 'ayāñ bhī vo
vahī shā'ir ke āvāra-ḳhayāloñ meñ
vahī sahrā ke be-rahrau ġhazāloñ meñ
hasīnoñ ke hasīñ shab-rang bāloñ meñ
shafaq meñ surḳhī-e-ruḳhsār-o-lab meñ
barf ke zhāloñ meñ lāloñ meñ
kañval-nainoñ charāġhoñ kī lavoñ meñ
ḳhush-gulū āvāz meñ pur-dard nāloñ meñ
suroñ meñ aur tāloñ meñ
vo ik chehra vahī chehra
añdheroñ aur ujāloñ meñ
vo shāhoñ meñ na mīroñ meñ
na pīroñ aur faqīroñ meñ
na vo duniyā ke kīḌoñ meñ
na ḳhvāhish ke asīroñ meñ
vo 'āshiq ke dil-e-sādiq meñ
vo miskīñ kī aahoñ meñ
musāfir kī du'āoñ meñ
vo muztar kī karāhoñ meñ
vo mazlūmoñ ke be-āvāz nāloñ meñ
vo mahrūmoñ ke lab-basta savāloñ meñ
vo is duniyā se be-bahra nihāloñ meñ
vo hai zinda zamīroñ meñ
vo yā'nī sachche hīroñ meñ
maiñ
maiñ har dam apne ḳhvāboñ meñ
kabhī khoyā huā rahtā huuñ
mantiq kī kitāboñ meñ
savāloñ aur javāboñ meñ
kabhī maiñ falsafe meñ gum
haqīqat yā sarāboñ meñ
kabhī dariyā kī maujoñ se maiñ laḌtā huuñ
kabhī sahrā ke zarroñ se jhagaḌtā huuñ
kabhī sūraj kī kirnoñ ko pakaḌtā huuñ
kabhī phūloñ kī ḳhushbū se bigaḌtā huuñ
sañvartā yā ujaḌtā huuñ
kabhī apnā garebāñ chaak
kabhī tasḳhīr-e-haft-aflāk
maiñ kis kis dar kī chhānūñ ḳhaak
maiñ kyā huuñ juz ḳhas-o-ḳhāshāk
maiñ kis kis vahm meñ ġhaltāñ
kabhī bar-bīnish-o-dānish
kabhī 'amaloñ kī guuñ nāzāñ
gahe dil kī tarah ġhamgīñ
tū gaahe aañkh suuñ hairāñ
kabhī dar dasht bhī ābād
kabhī shahroñ meñ bhī vīrāñ
ye mere dil kī be-tābī
ye merī ātish-e-sozāñ
na jaane kis kī hai jūyāñ
akele baiTh kar jab bhi
daricha fikr ka kholun
main apne aap se bolun
saba KHushbu gulabon ki
chura lati hai gulshan se
shu'a'en nur ki
baatin ke aaine pe
aa paDti hain rauzan se
to is 'alam mein ek chehra
hijabon se nikal kar
dil ke aangan mein utarta hai
hazaron qafile yaadon ke
us ke sath aate hain
wale ba-in-hama
kitne hi andeshon ko
apne sath late hain
wo ek chehra
kabhi jo chand ban kar muskuraata hai
meri raaton ki tariki miTata hai
kabhi sadha sitaron ki tarah wo TimTimata hai
sar-e-nok-e-mizha yun jhilmilata hai
wo ek chehra
kabhi baadal kabhi baran
kabhi waslash kabhi hijran
kabhi mushkil kabhi aasan
wo har ek rang mein har aan
yahan bhi wo wahan bhi wo
aur un ke darmiyan bhi wo
main jata hun jahan bhi wo
nihan bhi wo 'ayan bhi wo
wahi sha'ir ke aawara-KHayalon mein
wahi sahra ke be-rahrau ghazalon mein
hasinon ke hasin shab-rang baalon mein
shafaq mein surKHi-e-ruKHsar-o-lab mein
barf ke zhaalon mein lalon mein
kanwal-nainon charaghon ki lawon mein
KHush-gulu aawaz mein pur-dard nalon mein
suron mein aur talon mein
wo ek chehra wahi chehra
andheron aur ujalon mein
wo shahon mein na miron mein
na piron aur faqiron mein
na wo duniya ke kiDon mein
na KHwahish ke asiron mein
wo 'ashiq ke dil-e-sadiq mein
wo miskin ki aahon mein
musafir ki du'aon mein
wo muztar ki karahon mein
wo mazlumon ke be-awaz nalon mein
wo mahrumon ke lab-basta sawalon mein
wo is duniya se be-bahra nihaalon mein
wo hai zinda zamiron mein
wo ya'ni sachche hiron mein
main
main har dam apne KHwabon mein
kabhi khoya hua rahta hun
mantiq ki kitabon mein
sawalon aur jawabon mein
kabhi main falsafe mein gum
haqiqat ya sarabon mein
kabhi dariya ki maujon se main laDta hun
kabhi sahra ke zarron se jhagaDta hun
kabhi suraj ki kirnon ko pakaDta hun
kabhi phulon ki KHushbu se bigaDta hun
sanwarta ya ujaDta hun
kabhi apna gareban chaak
kabhi tasKHir-e-haft-aflak
main kis kis dar ki chhanun KHak
main kya hun juz KHas-o-KHashak
main kis kis wahm mein ghaltan
kabhi bar-binish-o-danish
kabhi 'amalon ki gun nazan
gahe dil ki tarah ghamgin
tu gahe aankh sun hairan
kabhi dar dasht bhi aabaad
kabhi shahron mein bhi viran
ye mere dil ki be-tabi
ye meri aatish-e-sozan
na jaane kis ki hai juyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.