ġhusl-e-tahārat ke liye Duubā ufuq meñ āftāb
afroḳhta qindīl apnī haath meñ apne liye
rāhibāna raat phirtī hai
falak par sogvār
justujū se shal haiñ ab
chappū chalāte haath maah o saal ke
be-sabr, jhuk kar haath se apne fanā
vast-e-samandar meñ uThātī hai bhañvar
hotī hai mohlat ḳhatm
ab to parda-e-iḳhfā uThā
mere muqaddas ḳhvāb kī ta.abīr tū
apnī jhalak mujh ko dikhā de ek baar
ki chhīn lene ko fanā hai mujh se terā intizār
ghusl-e-tahaarat ke liye Duba ufuq mein aaftab
afroKHta qindil apni hath mein apne liye
rahibana raat phirti hai
falak par sogwar
justuju se shal hain ab
chappu chalate hath mah o sal ke
be-sabr, jhuk kar hath se apne fana
wast-e-samandar mein uThati hai bhanwar
hoti hai mohlat KHatm
ab to parda-e-iKHfa uTha
mere muqaddas KHwab ki tabir tu
apni jhalak mujh ko dikha de ek bar
ki chhin lene ko fana hai mujh se tera intizar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.