talash fareb-e-mutlaq ki
fāhisha aurto
kyā koī
tum meñ aisā nahīñ
jo mujhe
is tarah chhal sake
maiñ nashāt-e-gumāñ ke surūr-e-ajab-jāvedāñ ko liye
narm āġhosh se
saḳht āġhosh tak
ek bar-haq safar karūñ
fāhisha aurto
vo qarīb-e-musalsal kī daulat kahāñ se mile
kyā koī
tum meñ aisā nahīñ
mujh se jo
jhuuT ko sūñgh lene kī ḳhū chhīn le
justujū chhīn le
fahisha aurto
kya koi
tum mein aisa nahin
jo mujhe
is tarah chhal sake
main nashat-e-guman ke surur-e-ajab-jawedan ko liye
narm aaghosh se
saKHt aaghosh tak
ek bar-haq safar karun
fahisha aurto
wo qarib-e-musalsal ki daulat kahan se mile
kya koi
tum mein aisa nahin
mujh se jo
jhuT ko sungh lene ki KHu chhin le
justuju chhin le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.