talash
maiñ tujhe DhūñDne niklā huuñ mirī jān-e-nazar
jāntā huuñ ki tirī rāhguzar kaun sī hai
dekhtā bhī huuñ ki tū paas se guzrī hai mire
par jo chhūne ko baḌhūñ tujh ko
to ye tund havā
raah meñ ik kaḌī dīvār sī ban jaatī hai
kis taraf jā.ūñ
koī naqsh-e-kaf-e-pā bhī nahīñ
in fazāoñ meñ faqat terī mahak paatā huuñ
raah bhūlā huuñ kuchh aisā
ki ghane jangal meñ
ab jo maiñ ḳhud ko bhī DhūñDūñ to nahīñ pā saktā
main tujhe DhunDne nikla hun meri jaan-e-nazar
jaanta hun ki teri rahguzar kaun si hai
dekhta bhi hun ki tu pas se guzri hai mere
par jo chhune ko baDhun tujh ko
to ye tund hawa
rah mein ek kaDi diwar si ban jati hai
kis taraf jaun
koi naqsh-e-kaf-e-pa bhi nahin
in fazaon mein faqat teri mahak pata hun
rah bhula hun kuchh aisa
ki ghane jangal mein
ab jo main KHud ko bhi DhunDun to nahin pa sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.