talash
masjid meñ aur mandir meñ
girja-ghar kī ḳhāmoshī se
hamd-o-sanā ke gītoñ tak
gurudvāre kī baiThak meñ
Dholak kī har thaap se le kar
laaT sāhab ke paaT talak
maulviyoñ ke va.az se le kar
panDit ke bhajan ke andar
sahrāoñ meñ
dariyāoñ meñ
is kone se us kone tak
kā.enāt ke har goshe meñ
farsh se le kar
arsh ke manzar-nāme tak
dīvār-e-girya se le kar
chashm-e-talab ke paar talak
aur ḳhalā se bhī us paar
jis ke liye maiñ sargardāñ thī
jis ko DhūñDā galī galī
chaman chaman aur kalī kalī
vo to merī shah-e-rag meñ thā
merā ḳhudā bas merā ḳhudā
masjid mein aur mandir mein
girja-ghar ki KHamoshi se
hamd-o-sana ke giton tak
gurudware ki baiThak mein
Dholak ki har thap se le kar
laT sahab ke paT talak
maulwiyon ke waz se le kar
panDit ke bhajan ke andar
sahraon mein
dariyaon mein
is kone se us kone tak
kaenat ke har goshe mein
farsh se le kar
arsh ke manzar-name tak
diwar-e-girya se le kar
chashm-e-talab ke par talak
aur KHala se bhi us par
jis ke liye main sargardan thi
jis ko DhunDa gali gali
chaman chaman aur kali kali
wo to meri shah-e-rag mein tha
mera KHuda bas mera KHuda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.