talash
ek aañkh thī aadhe lab the
aur ik choTī lambī sī
ek kaan meñ chamak rahī thī
chāñd sī baalī paḌī huī
ek hinā.ī haath thā jis meñ
laal kāñch kī chauḌī thī
ek galī meñ darvāze se
jhāñk rahī thī ik laḌkī
jaane kaun galī thī ab maiñ
chhān rahā huuñ galī galī
ek aankh thi aadhe lab the
aur ek choTi lambi si
ek kan mein chamak rahi thi
chand si baali paDi hui
ek hinai hath tha jis mein
lal kanch ki chauDi thi
ek gali mein darwaze se
jhank rahi thi ek laDki
jaane kaun gali thi ab main
chhan raha hun gali gali
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 49)
- Author : Mohd Alvi
- Publication : Urdu Sahitya Acadami, Gujrat (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.