talash
ye jo terī talāsh meñ nikaltā huuñ maiñ
siyāh añdherī rātoñ meñ
ek kāġhaz pe likh ke naam terā
to log pahchānte nahīñ
tumheñ jānte nahīñ
terī ḳhushbū kī chhaḌī pakaḌ ke
chal ke saarī raat
maiñ tāroñ pe apnā patā chhoḌ aatā huuñ
kabhī guzro to paḌh lenā
sunā hai vahīñ pe rahte ho tum
ye jo teri talash mein nikalta hun main
siyah andheri raaton mein
ek kaghaz pe likh ke nam tera
to log pahchante nahin
tumhein jaante nahin
teri KHushbu ki chhaDi pakaD ke
chal ke sari raat
main taron pe apna pata chhoD aata hun
kabhi guzro to paDh lena
suna hai wahin pe rahte ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.