talab hai daryuza-gar
maiñ apnī rūh-e-azāb-gar se ye kah rahā thā
ki ruuh kī pyaas aur badan kī talab meñ
ek rabt-e-bāhamī hai
na ruuh sarshār hai na tābindagī-e-tan hai
ye reza reza jo rizq pahuñchā hai tār-o-pū kā
sarishta-e-nā-tavāñ hai arz-e-hunar ke dāmān-e-be-rafū kā
ye luqma-e-ḳhushk-o-halq-farsā
kabhī to lazzat-e-shi.ār-e-kām-o-dahan bhī hotā
fasīl-e-tan māvarā-e-pas-ḳhurdgī bhī hotī
maiñ dast-e-kotāh-gīr daulat se pūchhtā huuñ
ki umr bhar tū ne kāġhzī pairahan siye kyuuñ
zabān-e-ālūda-kār ko sī ke baiTh jaatā
tū saḳht-kosh azāb-e-sūd-o-ziyāñ na sahtī
ye lamhe āsār-e-bāqiya haiñ
ki jin meñ sāñseñ bhī ghaT rahī haiñ
talab hai daryūza-gar ki us ne
shikast dil kī panāh DhūñDī
qalam chalā hai to raushnā.ī ke ashk Tapkā
na lauh-e-dil par
harīf ko apne saath maqtal kī dhuup meñ lā
savād-e-mahrūmī-e-bashar to nahīñ
guzar-gāh-e-nā-murādī
pahāḌ kaaTe haiñ jur.atoñ ne
ḳharāba-e-zehn par tamāzat ġhurūr kī hai
saman-barī sāya-gustarī hai
usī ko zahrāb-e-āgahī de
usī se ta.amīr āshiyāñ kar
main apni ruh-e-azab-gar se ye kah raha tha
ki ruh ki pyas aur badan ki talab mein
ek rabt-e-bahami hai
na ruh sarshaar hai na tabindagi-e-tan hai
ye reza reza jo rizq pahuncha hai tar-o-pu ka
sarishta-e-na-tawan hai arz-e-hunar ke daman-e-be-rafu ka
ye luqma-e-KHushk-o-halq-farsa
kabhi to lazzat-e-shiar-e-kaam-o-dahan bhi hota
fasil-e-tan mawara-e-pas-KHurdgi bhi hoti
main dast-e-kotah-gir daulat se puchhta hun
ki umr bhar tu ne kaghzi pairahan siye kyun
zaban-e-aluda-kar ko si ke baiTh jata
tu saKHt-kosh azab-e-sud-o-ziyan na sahti
ye lamhe aasar-e-baqiya hain
ki jin mein sansen bhi ghaT rahi hain
talab hai daryuza-gar ki us ne
shikast dil ki panah DhunDi
qalam chala hai to raushnai ke ashk Tapka
na lauh-e-dil par
harif ko apne sath maqtal ki dhup mein la
sawad-e-mahrumi-e-bashar to nahin
guzar-gah-e-na-muradi
pahaD kaTe hain juraton ne
KHaraba-e-zehn par tamazat ghurur ki hai
saman-bari saya-gustari hai
usi ko zahrab-e-agahi de
usi se tamir aashiyan kar
- Book : siip (Magzin) (Pg. 160)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.