talaba-e-ali-gaDh collage ke nam
Interesting Fact
From Part-2: 1905-1908 (Bang-e-Dara)
auroñ kā hai payām aur merā payām aur hai
ishq ke dard-mañd kā tarz-e-kalām aur hai
tā.ir-e-zer-e-dām ke naale to san chuke ho tum
ye bhī suno ki nāla-e-tā.ir-e-bām aur hai
aatī thī koh se sadā rāz-e-hayāt hai sakūñ
kahtā thā mor nā-tavāñ lutf-e-ḳhirām aur hai
jazb-e-haram se hai faroġh anjuman hijāz kā
us kā maqām aur hai us kā nizām aur hai
maut hai aish-e-jāvedāñ zauq-e-talab agar na ho
gardish-e-ādmī hai aur gardish-e-jām aur hai
sham-e-sahar ye kah ga.ī soz hai zindagī kā saaz
ġham-kada-e-numūd meñ shart-e-davām aur hai
baada hai nīm-ras abhī shauq hai nā-rasā abhī
rahne do ḳhum ke sar pe tum ḳhisht-e-kalīsiyā abhī
auron ka hai payam aur mera payam aur hai
ishq ke dard-mand ka tarz-e-kalam aur hai
tair-e-zer-e-dam ke nale to san chuke ho tum
ye bhi suno ki nala-e-tair-e-baam aur hai
aati thi koh se sada raaz-e-hayat hai sakun
kahta tha mor na-tawan lutf-e-KHiram aur hai
jazb-e-haram se hai farogh anjuman hijaz ka
us ka maqam aur hai us ka nizam aur hai
maut hai aish-e-jawedan zauq-e-talab agar na ho
gardish-e-admi hai aur gardish-e-jam aur hai
sham-e-sahar ye kah gai soz hai zindagi ka saz
gham-kada-e-numud mein shart-e-dawam aur hai
baada hai nim-ras abhi shauq hai na-rasa abhi
rahne do KHum ke sar pe tum KHisht-e-kalisiya abhi
- Book : کلیات اقبال (Pg. 114)
- Author : علامہ اقبال
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.