talwar aur qalam
tez sī talvār saada sā qalam
bas yahī do tāqateñ haiñ besh-o-kam
ek hai jangī shujā.at kā nishāñ
ek hai ilmī liyāqat kā nishāñ
aadmī kī zindagī donoñ se hai
qaum kī tābindagī donoñ se hai
jo nahīñ Darte qalam kī maar se
zer karte haiñ unheñ talvār se
jab qalam paatā nahīñ koī sabīl
us ghaḌī talvār hai raushan dalīl
hukmrānī ko qalam darkār hai
amn kī zāmin magar talvār hai
ilm ke maidān meñ 'rāzī' bano
jang ke maidān meñ ġhāzī bano
vaqt par mazmūn likkho zor-dār
vaqt par DaT kar laḌo mardāna-vār
vo paḌhe likkhe jo be-talvār haiñ
un kī saarī Digriyāñ be-kār haiñ
bazm meñ ash.ār ke gauhar mufīd
razm meñ talvār ke jauhar mufīd
aaj tak jo bhī huā hai bā-vaqār
thā koī jarnail yā mazmūñ-nigār
'faiz' ko jitnā qalam se pyaar hai
utnī hī pyārī use talvār hai
tez si talwar sada sa qalam
bas yahi do taqaten hain besh-o-kam
ek hai jangi shujaat ka nishan
ek hai ilmi liyaqat ka nishan
aadmi ki zindagi donon se hai
qaum ki tabindagi donon se hai
jo nahin Darte qalam ki mar se
zer karte hain unhen talwar se
jab qalam pata nahin koi sabil
us ghaDi talwar hai raushan dalil
hukmrani ko qalam darkar hai
amn ki zamin magar talwar hai
ilm ke maidan mein 'raazi' bano
jang ke maidan mein ghazi bano
waqt par mazmun likkho zor-dar
waqt par DaT kar laDo mardana-war
wo paDhe likkhe jo be-talwar hain
un ki sari Digriyan be-kar hain
bazm mein ashaar ke gauhar mufid
razm mein talwar ke jauhar mufid
aaj tak jo bhi hua hai ba-waqar
tha koi jarnail ya mazmun-nigar
'faiz' ko jitna qalam se pyar hai
utni hi pyari use talwar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.