talwon ko chaTta hua din
ye kā.enāt ke talvoñ ko chāTtā huā din
tulū'-e-sub.h se le kar dayār-e-‘asr talak
bune hai ek tasalsul se raushnā.ī ke taar
ki jin se bāñdhā gayā hai
falak pe tāroñ ko
diyoñ ko aur diyoñ se saje dayāroñ ko
ye kā.enāt ke talvoñ ko chāTtā huā din
mujāvirān-e-dar-e-'ishq ke qarīñ rah kar
janāb-e-‘ishq ke
hujre meñ shab guzārtā hai
charāġh-e-'ishq kī lau meñ se
din ubhārtā hai
charāġh-e-'ishq kī lau meñ se
din ubhārtā hai
ye kaenat ke talwon ko chaTta hua din
tulu'-e-subh se le kar dayar-e-‘asr talak
bune hai ek tasalsul se raushnai ke tar
ki jin se bandha gaya hai
falak pe taron ko
diyon ko aur diyon se saje dayaron ko
ye kaenat ke talwon ko chaTta hua din
mujaviran-e-dar-e-'ishq ke qarin rah kar
janab-e-‘ishq ke
hujre mein shab guzarta hai
charagh-e-'ishq ki lau mein se
din ubhaarta hai
charagh-e-'ishq ki lau mein se
din ubhaarta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.