tamancha
mat tahzīb tamaddun kī tum ham se baat karo
dil kā dard chhalak jā.egā varna āñkhoñ se
ġhairat ke us naam pe ab tak jitne ḳhuun hue
un meñ kal ik chaar saal kī bachchī bhī dekhī
jis ne haath meñ kapḌe kī ik guḌiyā thāmī thī
muTThī meñ ik toffē thī jo us ne khānī thī
us kī palkoñ par hairat thī
hairat meñ thā ḳhauf
gardan par ḳhanjar kā ghaav itnā gahrā thā
jaise us ko kāTne vaalā haath parāyā ho
ghar ke ġhairat-mañd mardoñ se pūchh sakī na vo
baabā bhayyā bolo ġhairat kis ko kahte haiñ
mat tahzīb tamaddun kī tum ham se baat karo
mat tahzib tamaddun ki tum hum se baat karo
dil ka dard chhalak jaega warna aankhon se
ghairat ke us nam pe ab tak jitne KHun hue
un mein kal ek chaar sal ki bachchi bhi dekhi
jis ne hath mein kapDe ki ek guDiya thami thi
muTThi mein ek toffee thi jo us ne khani thi
us ki palkon par hairat thi
hairat mein tha KHauf
gardan par KHanjar ka ghaw itna gahra tha
jaise us ko kaTne wala hath paraya ho
ghar ke ghairat-mand mardon se puchh saki na wo
baba bhayya bolo ghairat kis ko kahte hain
mat tahzib tamaddun ki tum hum se baat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.