tamasha-gah-e-lala-zar
tamāshā-gah-e-lāla-zār
''tiyātar'' pe merī nigāheñ jamī thiiñ
mire kaan ''music'' ke zer-o-bam par lage the
magar merā dil phir bhī kartā rahā thā
arab aur ajam ke ġhamoñ kā shumār
tamāshā-gah-e-lāla-zār!
tamāshā-gah-e-lāla-zār
ab īrāñ kahāñ hai
ye ishqī kā shahkār ''īrān kī rustaḳhez''
ab īrāñ hai ik nauhagar pīr-zāl
hai muddat se afsurda jis kā jamāl
madā.in kī vīrāniyoñ par ajam ashk-rez
vo nau-shervāñ aur zar-dusht aur dāriyūsh
vo farhād shīrīñ vo kai-ḳhusro o kai-qabād
ham ik dāstāñ haiñ vo kirdār the dāstāñ ke!
ham ik kārvāñ haiñ vo sālār the kārvāñ ke!
tah-e-ḳhāk jin ke mazār
tamāshā-gah-e-lāla-zār!
tamāshā-gah-e-lāla-zār
magar nauha-ḳhvānī kī ye sargirānī kahāñ tak?
ki manzil hai dushvār ġham se ġham-e-jāvedāñ tak!
vo sab the kushāda-dil o hosh-mañd o parastār-e-rabb-e-karīm
vo sab ḳhair ke rāh-dāñ rāh-shanās
hameñ aaj mohsin-kush o nā-sipās
vo shāhanshahān-e-āzīm
vo pindār-e-rafta kā jāh-o-jalāl-e-qadīm
hamārī hazīmat ke sab be-bahā tār-o-pū the
fanā un kī taqdīr ham un kī taqdīr ke nauhagar haiñ
usī kī tamannā meñ phir sogvār
tamāshā-gah-e-lāla-zār!
tamāshā-gah-e-lāla-zār
urūs-e-javāñ sāl-e-fardā hijāboñ meñ mastūr
gurisna nigah zūd-kāroñ se ranjūr
magar ab hamāre na.e ḳhvāb kābūs-e-māzī nahīñ haiñ
hamāre na.e ḳhvāb haiñ ādam-e-nau ke ḳhvāb
jahān-e-tag-o-dau ke ḳhvāb
jahān-e-tag-o-dau madā.in nahīñ
kāḳh-e-faġhfūr-o-kisrā nahīñ
ye us ādam-e-nau kā ma.āvā nahīñ
na.ī bastiyāñ aur na.e shahryār
tamāshā-gah-e-lāla-zār!
tamasha-gah-e-lala-zar
tiyatar pe meri nigahen jami thin
mere kan music ke zer-o-bam par lage the
magar mera dil phir bhi karta raha tha
arab aur ajam ke ghamon ka shumar
tamasha-gah-e-lala-zar!
tamasha-gah-e-lala-zar
ab iran kahan hai
ye ishqi ka shahkar iran ki rustaKHez
ab iran hai ek nauhagar pir-zal
hai muddat se afsurda jis ka jamal
madain ki viraniyon par ajam ashk-rez
wo nau-sherwan aur zar-dusht aur dariyush
wo farhad shirin wo kai-KHusro o kai-qabaad
hum ek dastan hain wo kirdar the dastan ke!
hum ek karwan hain wo salar the karwan ke!
tah-e-KHak jin ke mazar
tamasha-gah-e-lala-zar!
tamasha-gah-e-lala-zar
magar nauha-KHwani ki ye sargirani kahan tak?
ki manzil hai dushwar gham se gham-e-jawedan tak!
wo sab the kushada-dil o hosh-mand o parastar-e-rabb-e-karim
wo sab KHair ke rah-dan rah-shanas
hamein aaj mohsin-kush o na-sipas
wo shahanshahan-e-azim
wo pindar-e-rafta ka jah-o-jalal-e-qadim
hamari hazimat ke sab be-baha tar-o-pu the
fana un ki taqdir hum un ki taqdir ke nauhagar hain
usi ki tamanna mein phir sogwar
tamasha-gah-e-lala-zar!
tamasha-gah-e-lala-zar
urus-e-jawan sal-e-farda hijabon mein mastur
gurisna nigah zud-karon se ranjur
magar ab hamare nae KHwab kabus-e-mazi nahin hain
hamare nae KHwab hain aadam-e-nau ke KHwab
jahan-e-tag-o-dau ke KHwab
jahan-e-tag-o-dau madain nahin
kaKH-e-faghfur-o-kisra nahin
ye us aadam-e-nau ka maawa nahin
nai bastiyan aur nae shahryar
tamasha-gah-e-lala-zar!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.