tamashai bhi zalim hain
vo zālim
jo kisī kā zulm sahtā hai
ki vo zālim
jo us par zulm kartā hai
kisī mazlūm par lāThī chalātā hai
vo jo fir.aun ban kar ḳhud ko us mazlūm kā aaqā batātā hai
ḳhudā hone kā da.avā hī nahīñ kartā
ḳhudā.ī kī hadoñ ko chhū ke aatā hai
kisī be-pairahan ko saḌkoñ pe laatā hai
numā.ish kar ke logoñ ko tamāshā bhī dikhātā hai
phir is par faḳhr kartā hai
faqat vo hī nahīñ zālim
tamāshā jo banā hai vo bhī zālim hai
tamāshā.ī bhī zālim haiñ
ye jo bīmār socheñ sochne vāloñ kā Tolā hai
ye zālim hai
kisī mazlūm ke jo ird-gird aise khaḌe
tasvīr khiñchvātā hai zālim hai
numā.ish ho rahī hotī hai siskī kī
kisī kī āḳhirī hichkī jo apne camere meñ
qaid kartā hai
jahāñ bhar ko dikhātā hai
vo zālim hai
baḌā sastā tarīqa hai hamārā bhī
bahā kar ashk jo hamdardiyāñ ham ne sameTī haiñ
inhī hamdardiyoñ kī kirchiyāñ rūhoñ meñ
chubhtī haiñ
sadā andar se aatī hai
tamāshā karne vaalā to chalo zālim
tamāshā jo banā hai vo bhī zālim hai
tamāshā.ī bhī zālim haiñ
wo zalim
jo kisi ka zulm sahta hai
ki wo zalim
jo us par zulm karta hai
kisi mazlum par laThi chalata hai
wo jo firaun ban kar KHud ko us mazlum ka aaqa batata hai
KHuda hone ka dawa hi nahin karta
KHudai ki hadon ko chhu ke aata hai
kisi be-pairahan ko saDkon pe lata hai
numaish kar ke logon ko tamasha bhi dikhata hai
phir is par faKHr karta hai
faqat wo hi nahin zalim
tamasha jo bana hai wo bhi zalim hai
tamashai bhi zalim hain
ye jo bimar sochen sochne walon ka Tola hai
ye zalim hai
kisi mazlum ke jo ird-gird aise khaDe
taswir khinchwata hai zalim hai
numaish ho rahi hoti hai siski ki
kisi ki aaKHiri hichki jo apne camere mein
qaid karta hai
jahan bhar ko dikhata hai
wo zalim hai
baDa sasta tariqa hai hamara bhi
baha kar ashk jo hamdardiyan hum ne sameTi hain
inhi hamdardiyon ki kirchiyan ruhon mein
chubhti hain
sada andar se aati hai
tamasha karne wala to chalo zalim
tamasha jo bana hai wo bhi zalim hai
tamashai bhi zalim hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.