tamashe wala
aao bachcho do paise meñ duniyā bhar kī sair karo
nazzāre dikhlāne vaalā
jag kī sair karāne vaalā
Dabbā apne sar pe uThā.e
galī galī meñ jaane vaalā
aaj tumhāre ghar ke bāhar rang jamāne aayā
do paise meñ duniyā bhar kī sair karāne aayā
aao bachcho do paise meñ duniyā bhar kī sair karo
us ne Dabbā lā kar rakhā
tum ne ik shīshe meñ jhāñkā
tasvīroñ par tasvīreñ haiñ
billī kuttā mainā totā
khel tamāshe vaalā ik sansār basāne aayā
do paise meñ duniyā bhar kī sair karāne aayā
aao bachcho do paise meñ duniyā bhar kī sair karo
kitnā achchhā rang jamāyā
ek zarā sā pech ghumāyā
tum ne chāñdnī chauk ko kho kar
kalkatte ke shahr ko paayā
sar pe uThā kar kalkatte kā shahr dikhāne aayā
do paise meñ duniyā bhar kī sair karāne aayā
aao bachcho do paise meñ duniyā bhar kī sair karo
aagre aao taaj ko dekho
kal ko dekho aaj ko dekho
chāho agar to europe jā kar
afrangī ke raaj ko dekho
tum ko sair-sapāTe kā shauqīn banāne aayā
do paise meñ duniyā bhar kī sair karāne aayā
aao bachcho do paise meñ duniyā bhar kī sair karo
gaaḌī laayā engine laayā
paris laayā london laayā
gaThḌī apne sar pe uThā.e
bārah man kī dhoban laayā
jitne rote bachche the un sab ko hañsāne aayā
do paise meñ duniyā bhar kī sair karāne aayā
aao bachcho do paise mein duniya bhar ki sair karo
nazzare dikhlane wala
jag ki sair karane wala
Dabba apne sar pe uThae
gali gali mein jaane wala
aaj tumhaare ghar ke bahar rang jamane aaya
do paise mein duniya bhar ki sair karane aaya
aao bachcho do paise mein duniya bhar ki sair karo
us ne Dabba la kar rakha
tum ne ek shishe mein jhanka
taswiron par taswiren hain
billi kutta maina tota
khel tamashe wala ek sansar basane aaya
do paise mein duniya bhar ki sair karane aaya
aao bachcho do paise mein duniya bhar ki sair karo
kitna achchha rang jamaya
ek zara sa pech ghumaya
tum ne chandni chauk ko kho kar
kalkatte ke shahr ko paya
sar pe uTha kar kalkatte ka shahr dikhane aaya
do paise mein duniya bhar ki sair karane aaya
aao bachcho do paise mein duniya bhar ki sair karo
aagre aao taj ko dekho
kal ko dekho aaj ko dekho
chaho agar to europe ja kar
afrangi ke raj ko dekho
tum ko sair-sapaTe ka shauqin banane aaya
do paise mein duniya bhar ki sair karane aaya
aao bachcho do paise mein duniya bhar ki sair karo
gaDi laya engine laya
paris laya london laya
gaThDi apne sar pe uThae
barah man ki dhoban laya
jitne rote bachche the un sab ko hansane aaya
do paise mein duniya bhar ki sair karane aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.