Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamanna ke tar

Noon Meem Rashid

tamanna ke tar

Noon Meem Rashid

MORE BYNoon Meem Rashid

    tamannā ke zholīda taar

    girah dar girah haiñ tamannā ke nādīda taar

    sitāroñ se utre haiñ kuchh log raat

    vo kahte haiñ apnī tamannā ke zholīda tāroñ ko suljhāo

    suljhāo apnī tamannā ke zholīda taar

    sitāroñ kirnoñ mānind suljhāo

    mabādā sitāroñ se barseñ vo tiir

    ki rah jaa.e baaqī tamannā na taar

    tamannā ke zholīda taar

    sitāroñ se utre hue rāhgīr

    ki hai nuur nuur jin ḳhamīr

    tamannā se vāqif nahīñ na un par ayaañ

    tamannā ke tāroñ zholīdgī raaz

    tamannā hamāre jahāñ jahān-e-fanā matā-e-azīz

    magar ye sitāroñ se utre hue log

    sar-e-rishta-e-nā-guzīr-e-abad meñ asiir

    ham un se ye kahte haiñ ai ahal mirrīḳh

    jaane vo kin kin sitāroñ se haiñ

    adab se ḳhushāmad se kahte haiñ ai mohtaram ahl-e-mirrīḳh

    kyā tum nahīñ dekhte in tamannā ke zholīda tāroñ ke rañg

    magar un ko shāyad ki rañgoñ se raġhbat nahīñ

    ki rañgoñ un ko farāsat nahīñ

    hai rañgoñ ke baare meñ un ḳhayāl aur

    un firāq-o-visāl aur

    un ke mah-o-sāl aur

    baḌī sādgī se ye kahte haiñ ham

    mohtaram ahal mirrīḳh dekhe nahīñ

    kabhī tum ne zholīda bāhoñ ke rañg

    mohabbat meñ sar-ḳhush nigāhoñ ke rañg

    gunāhoñ ke rañg

    tamanna ke zholida tar

    girah dar girah hain tamanna ke nadida tar

    sitaron se utre hain kuchh log raat

    wo kahte hain apni tamanna ke zholida taron ko suljhao

    suljhao apni tamanna ke zholida tar

    sitaron ki kirnon ki manind suljhao

    mabaada sitaron se barsen wo tir

    ki rah jae baqi tamanna na tar

    tamanna ke zholida tar

    sitaron se utre hue rahgir

    ki hai nur hi nur jin ka KHamir

    tamanna se waqif nahin na un par ayan

    tamanna ke taron ki zholidgi hi ka raaz

    tamanna hamare jahan ki jahan-e-fana ki mata-e-aziz

    magar ye sitaron se utre hue log

    sar-e-rishta-e-na-guzir-e-abad mein asir

    hum un se ye kahte hain ai ahal mirriKH

    jaane wo kin kin sitaron se hain

    adab se KHushamad se kahte hain ai mohtaram ahl-e-mirriKH

    kya tum nahin dekhte in tamanna ke zholida taron ke rang

    magar un ko shayad ki rangon se raghbat nahin

    ki rangon ki un ko farasat nahin

    hai rangon ke bare mein un ka KHayal aur

    un ka firaq-o-visal aur

    un ke mah-o-sal aur

    baDi sadgi se ye kahte hain hum

    mohtaram ahal mirriKH dekhe nahin

    kabhi tum ne zholida bahon ke rang

    mohabbat mein sar-KHush nigahon ke rang

    gunahon ke rang

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now