tamanna
detī hai be-ḳhudī shauq pe aa kar dastak
hone vaalī ko ye kahtī hai na ho duur bhaTak
jaane vaalī ko ye kahtī hai na jā aa mujh tak
aql aaḌe kabhī aatī hai to detī hai jhaTak
na miTā.e kabhī miTne kī tamannā merī
aaj to aaj rahegī pas-e-fardā merī
dushmanoñ par kabhī girtī hai ye ban kar bijlī
dostoñ par kabhī aatī hai ye ban kar chhatrī
gulshan-e-husn meñ uḌtī hai ye ban kar titlī
bhes meñ us ke mire paas kabhī hai aatī
ruup kyā kyā nahīñ bhartī hai tamannā merī
khel kyā kyā nahīñ kartī hai tamannā merī
kabhī aaqil kabhī kahtī hai ye nādān mujhe
chain detī kabhī kartī hai pareshān mujhe
guzrī bātoñ se banā detī hai anjān mujhe
ālam-e-jazb meñ rakhtī hai ye har aan mujhe
saaz ishrat ke bajātī hai tamannā merī
ḳhvāb fardā ke dikhātī hai tamannā miirī
deti hai be-KHudi shauq pe aa kar dastak
hone wali ko ye kahti hai na ho dur bhaTak
jaane wali ko ye kahti hai na ja aa mujh tak
aql aaDe kabhi aati hai to deti hai jhaTak
na miTae kabhi miTne ki tamanna meri
aaj to aaj rahegi pas-e-farda meri
dushmanon par kabhi girti hai ye ban kar bijli
doston par kabhi aati hai ye ban kar chhatri
gulshan-e-husn mein uDti hai ye ban kar titli
bhes mein us ke mere pas kabhi hai aati
rup kya kya nahin bharti hai tamanna meri
khel kya kya nahin karti hai tamanna meri
kabhi aaqil kabhi kahti hai ye nadan mujhe
chain deti kabhi karti hai pareshan mujhe
guzri baaton se bana deti hai anjaan mujhe
aalam-e-jazb mein rakhti hai ye har aan mujhe
saz ishrat ke bajati hai tamanna meri
KHwab farda ke dikhati hai tamanna meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.