tamanna ka dusra qadam
vaqt aur nā-vaqt ke mā-bain
kitnā fāsla
kitnā ḳhalā
kitnī ghanerī ḳhāmushī hai
jānñe kī koshishoñ meñ
aañkh kī aur dil kī ujlī aañkh kī
bīnā.iyāñ kam paḌ ga.ī haiñ
sochtā huuñ
soch kā koī parinda bhej kar
is hadd-e-lā-had kā
koī andāza kar luuñ
ḳhud se kahtā huuñ
tujhe ma.alūm hai
ye kaam sochoñ ke parindoñ kā nahīñ
taḳh.īl kā hai
jo parinda ġhaib kī is jhiil kā hai
jis meñ sab nā-dīdgāñ ke
aks bante raqs karte haiñ
inhī nā-dīdgāñ meñ
vaqt aur nā-vaqt ke mā-bain kā
vo fāsla aur vo ḳhalā aur vo ghanerī ḳhāmushī
bhī ho to kyā ma.alūm
bahte aks un ke tā.ir-e-taḳh.īl ke shahpar se lipTe saath aa jaa.eñ
ye gahre bhed mere haath aa jaa.eñ
waqt aur na-waqt ke ma-bain
kitna fasla
kitna KHala
kitni ghaneri KHamushi hai
jaanne ki koshishon mein
aankh ki aur dil ki ujli aankh ki
binaiyan kam paD gai hain
sochta hun
soch ka koi parinda bhej kar
is hadd-e-la-had ka
koi andaza kar lun
KHud se kahta hun
tujhe malum hai
ye kaam sochon ke parindon ka nahin
taKHil ka hai
jo parinda ghaib ki is jhil ka hai
jis mein sab na-didgan ke
aks bante raqs karte hain
inhi na-didgan mein
waqt aur na-waqt ke ma-bain ka
wo fasla aur wo KHala aur wo ghaneri KHamushi
bhi ho to kya malum
bahte aks un ke tair-e-taKHil ke shahpar se lipTe sath aa jaen
ye gahre bhed mere hath aa jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.