tanha
maiñ vahī qatra-e-be-bahr vahī dasht-e-navard
apne kāñdhoñ pe uThā.e hue sahrā kā tilism
apne siine meñ chhupā.e hue sailāb kā dard
TuuT kar rishta-e-tasbīh se aa niklā huuñ
dil kī dhaḌkan meñ dabā.e hue a.amāl kī fard
mere dāman meñ baraste hue lamhoñ kā ḳharosh
merī palkoñ pe bagūloñ kī uḌaa.ī huī gard
laakh lahroñ se uThā hai mirī fitrat kā ḳhamīr
laakh qulzum mire siine meñ davāñ rahte haiñ
din ko kirneñ mire afkār kā muñh dhotī haiñ
shab ko taare mirī jānib nigrāñ rahte haiñ
mere māthe pe jhalaktā hai nadāmat ban kar
ibn-e-maryam kā vo jalva jo kalīsā meñ nahīñ
rāñda-e-mauj bhī haiñ mujrim-e-zarrāt bhī haiñ
merā qissa kisī afsānā-e-dariyā meñ nahīñ
merī tārīḳh kisī safha-e-sahrā meñ nahīñ
main wahi qatra-e-be-bahr wahi dasht-e-naward
apne kandhon pe uThae hue sahra ka tilism
apne sine mein chhupae hue sailab ka dard
TuT kar rishta-e-tasbih se aa nikla hun
dil ki dhaDkan mein dabae hue aamal ki fard
mere daman mein baraste hue lamhon ka KHarosh
meri palkon pe bagulon ki uDai hui gard
lakh lahron se uTha hai meri fitrat ka KHamir
lakh qulzum mere sine mein dawan rahte hain
din ko kirnen mere afkar ka munh dhoti hain
shab ko tare meri jaanib nigran rahte hain
mere mathe pe jhalakta hai nadamat ban kar
ibn-e-maryam ka wo jalwa jo kalisa mein nahin
randa-e-mauj bhi hain mujrim-e-zarraat bhi hain
mera qissa kisi afsana-e-dariya mein nahin
meri tariKH kisi safha-e-sahra mein nahin
- Book : kulliyat-e-mustafa zaidii(qaba-e-saaz) (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.