tanhai
chhā rahī hai muhīb ḳhāmoshī
be-karāñ sī ajiib ḳhāmoshī
vaqf-e-hirmān-o-yās baiThī huuñ
aah kitnī udaas baiThī huuñ
dil meñ kuchh naqsh jagmagāte haiñ
jis tarah ḳhvāb jhilmilāte haiñ
vo sitam-kāriyāñ yagānoñ kī
sard-mehrī vo mehrbānoñ kī
kaḌvī kaḌvī burī burī bāteñ
zahr meñ vo bujhī bujhī bāteñ
chand dam toḌte hue naġhme
chand saa.e se ārzūoñ ke
ziist kī kā.enāt hai saarī
zindagī ek raat hai saarī
raat aur mausam-e-ḳhizāñ kī raat
ranj-o-ālām-e-be-karāñ kī raat
qabr se bhī ziyāda tīra-o-tār
har-nafas ek aarzū kā mazār
tīrgī meñ jahān khoyā sā
dard ik giit meñ samoyā sā
bujh ga.ī sham.a ārzūoñ kī
dil meñ ab daaġh bhī nahīñ koī
aah dushvāriyāñ ġharībī kī
haa.e ḳhuddāriyāñ ġharībī kī
chha rahi hai muhib KHamoshi
be-karan si ajib KHamoshi
waqf-e-hirman-o-yas baiThi hun
aah kitni udas baiThi hun
dil mein kuchh naqsh jagmagate hain
jis tarah KHwab jhilmilate hain
wo sitam-kariyan yaganon ki
sard-mehri wo mehrbanon ki
kaDwi kaDwi buri buri baaten
zahr mein wo bujhi bujhi baaten
chand dam toDte hue naghme
chand sae se aarzuon ke
zist ki kaenat hai sari
zindagi ek raat hai sari
raat aur mausam-e-KHizan ki raat
ranj-o-alam-e-be-karan ki raat
qabr se bhi ziyaada tira-o-tar
har-nafas ek aarzu ka mazar
tirgi mein jahan khoya sa
dard ek git mein samoya sa
bujh gai shama aarzuon ki
dil mein ab dagh bhi nahin koi
aah dushwariyan gharibi ki
hae KHuddariyan gharibi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.