tanhai
ḳhāmushī gar tumheñ marġhūb hai tanhā hī raho
zindagī shor se mansūb hai tanhā hī raho
TuuTe ā.īne haiñ aur aks bhī haiñ masḳh-shuda
ye sadāqat kise matlūb hai tanhā hī raho
ab to har samt tamāshe haiñ va-mā-adrāka
be-asar sohbat-e-majzūb hai tanhā hī raho
tum jise shāfe'-e-hājāt samajhte ho yahāñ
vo kisī aur kā mandūb hai tanhā hī raho
zulmat-e-aql hidāyat se munavvar na huī
kaise dekhoge jo mahjūb hai tanhā hī raho
KHamushi gar tumhein marghub hai tanha hi raho
zindagi shor se mansub hai tanha hi raho
TuTe aaine hain aur aks bhi hain masKH-shuda
ye sadaqat kise matlub hai tanha hi raho
ab to har samt tamashe hain wa-ma-adraka
be-asar sohbat-e-majzub hai tanha hi raho
tum jise shafe'-e-hajat samajhte ho yahan
wo kisi aur ka mandub hai tanha hi raho
zulmat-e-aql hidayat se munawwar na hui
kaise dekhoge jo mahjub hai tanha hi raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.