tanhai mein
mere shānoñ pe tirā sar thā nigāheñ namnāk
ab to ik yaad sī baaqī hai so vo bhī kyā hai
ghar gayā zehn ġham-e-zīst ke andāzoñ meñ
har hathelī pe dhare soch rahā huuñ baiThā
kaash us vaqt koī pīr-e-ḳhamīda aa kar
kisī āzurda tabī.at kā fasāna kahtā
ik dhuñdlakā sā hai dam toḌ chukā hai sūraj
din ke dāman pe haiñ dhabbe se riyā-kārī ke
aur maġhrib kī fanā-gāh meñ phailā huā ḳhuuñ
dabtā jaatā hai siyāhī kī tahoñ ke nīche
duur tālāb ke nazdīk vo sūkhī sī babūl
chand TuuTe hue vīrān makānoñ se pare
haath phailā.e barahna sī khaḌī hai ḳhāmosh
jaise ġhurbat meñ musāfir ko sahārā na mile
us ke pīchhe se jhijaktā huā ik gol sā chāñd
ubhrā be-nūr shuāoñ ke safīne ko liye
maiñ abhī soch rahā huuñ ki agar tū mil jaa.e
zindagī-go hai girāñ-bār pa itnī na rahe
chand aañsū ġham-e-gītī ke liye chand nafas
ek ghaav hai jise yuuñ hī siye jaate haiñ
maiñ agar jī bhī rahā huuñ to ta.ajjub kyā hai
mujh se lākhoñ haiñ jo be-sūd jiye jaate haiñ
koī markaz hī nahīñ mere taḳhayyul ke liye
is se kyā fā.eda jiite rahe aur jī na sake
ab irāda hai ki patthar ke sanam pūjūñgā
taaki ghabrā.ūñ to Takrā bhī sakūñ mar bhī sakūñ
aise insānoñ se patthar ke sanam achchhe haiñ
un ke qadmoñ pe machaltā ho damaktā huā ḳhuuñ
aur vo merī mohabbat pe kabhī hañs na sakeñ
maiñ bhī be-rañg nigāhoñ kī shikāyat na karūñ
yā kahīñ gosha-e-ahrām ke sannāTe meñ
jā ke ḳhvābīda farā.īn se itnā pūchhūñ
har zamāne meñ ka.ī the ki ḳhudā ek hī thā
ab to itne haiñ ki hairān huuñ kis ko pūjūñ
ab to maġhrib kī fanā-gāh meñ vo sog nahīñ
aks tahrīr hai ik raat kā halkā halkā
aur pur-soz dhundalke se vahī gol sā chāñd
apnī be-nūr shuāoñ kā safīna khetā
ubhrā namnāk nigāhoñ se mujhe taktā huā
jaise ghul kar mire aañsū meñ badal jā.egā
haath phailā.e udhar dekh rahī hai vo babūl
sochtī hogī koī mujh sā hai ye bhī tanhā
ā.īna ban ke shab-o-roz takā kartā hai
kaisā tālāb hai jo us ko harā kar na sakā
yuuñ guzāre se guzar jā.eñge din apne bhī
par ye hasrat hī rahegī ki guzāre na ga.e
ḳhuun pī pī ke pilā kartī hai angūr kī bel
gar yahī rañg-e-tamannā thā chalo yūñhī sahī
ḳhuun piitī rahī baḌhtī rahī koñpal koñpal
chhāñv tāroñ kī shagūfoñ ko numū detī rahī
narm shāḳhoñ ko thapakte rahe ayyām ke haath
yūñhī din biit ga.e sub.h huī shaam huī
ab magar yaad nahīñ kyā thā ma.āl-e-ummīd
ek tahrīr hai halkī sī lahū kī baaqī
bel phaltī hai to kāñToñ ko chhupā letī hai
zindagī apnī pareshāñ thī pareshāñ hī rahī
chāhtā ye thā mire zaḳhm ke angūr bañdheñ
ye na chāhā thā mirā jām-e-tahī rah jaa.e
haath phailā.e udhar dekh rahī hai vo babūl
sochtī hogī koī mujh sā hai ye bhī tanhā
ghir gayā zehn ġham-e-zīst ke andāzoñ meñ
kaisā tālāb hai jo us ko harā kar na sakā
kaash is vaqt koī pīr-e-ḳhamīda aa kar
mere shānoñ ko thapaktā ġham-e-tanhā.ī meñ
mere shanon pe tera sar tha nigahen namnak
ab to ek yaad si baqi hai so wo bhi kya hai
ghar gaya zehn gham-e-zist ke andazon mein
har hatheli pe dhare soch raha hun baiTha
kash us waqt koi pir-e-KHamida aa kar
kisi aazurda tabiat ka fasana kahta
ek dhundlaka sa hai dam toD chuka hai suraj
din ke daman pe hain dhabbe se riya-kari ke
aur maghrib ki fana-gah mein phaila hua KHun
dabta jata hai siyahi ki tahon ke niche
dur talab ke nazdik wo sukhi si babul
chand TuTe hue viran makanon se pare
hath phailae barahna si khaDi hai KHamosh
jaise ghurbat mein musafir ko sahaara na mile
us ke pichhe se jhijakta hua ek gol sa chand
ubhra be-nur shuaon ke safine ko liye
main abhi soch raha hun ki agar tu mil jae
zindagi-go hai giran-bar pa itni na rahe
chand aansu gham-e-giti ke liye chand nafas
ek ghaw hai jise yun hi siye jate hain
main agar ji bhi raha hun to tajjub kya hai
mujh se lakhon hain jo be-sud jiye jate hain
koi markaz hi nahin mere taKHayyul ke liye
is se kya faeda jite rahe aur ji na sake
ab irada hai ki patthar ke sanam pujunga
taki ghabraun to Takra bhi sakun mar bhi sakun
aise insanon se patthar ke sanam achchhe hain
un ke qadmon pe machalta ho damakta hua KHun
aur wo meri mohabbat pe kabhi hans na saken
main bhi be-rang nigahon ki shikayat na karun
ya kahin gosha-e-ahram ke sannaTe mein
ja ke KHwabida farain se itna puchhun
har zamane mein kai the ki KHuda ek hi tha
ab to itne hain ki hairan hun kis ko pujun
ab to maghrib ki fana-gah mein wo sog nahin
aks tahrir hai ek raat ka halka halka
aur pur-soz dhundalke se wahi gol sa chand
apni be-nur shuaon ka safina kheta
ubhra namnak nigahon se mujhe takta hua
jaise ghul kar mere aansu mein badal jaega
hath phailae udhar dekh rahi hai wo babul
sochti hogi koi mujh sa hai ye bhi tanha
aaina ban ke shab-o-roz taka karta hai
kaisa talab hai jo us ko hara kar na saka
yun guzare se guzar jaenge din apne bhi
par ye hasrat hi rahegi ki guzare na gae
KHun pi pi ke pila karti hai angur ki bel
gar yahi rang-e-tamanna tha chalo yunhi sahi
KHun piti rahi baDhti rahi konpal konpal
chhanw taron ki shagufon ko numu deti rahi
narm shaKHon ko thapakte rahe ayyam ke hath
yunhi din bit gae subh hui sham hui
ab magar yaad nahin kya tha maal-e-ummid
ek tahrir hai halki si lahu ki baqi
bel phalti hai to kanTon ko chhupa leti hai
zindagi apni pareshan thi pareshan hi rahi
chahta ye tha mere zaKHm ke angur bandhen
ye na chaha tha mera jam-e-tahi rah jae
hath phailae udhar dekh rahi hai wo babul
sochti hogi koi mujh sa hai ye bhi tanha
ghir gaya zehn gham-e-zist ke andazon mein
kaisa talab hai jo us ko hara kar na saka
kash is waqt koi pir-e-KHamida aa kar
mere shanon ko thapakta gham-e-tanhai mein
- Book : Kulliyat-e-Akhtaruliman (Pg. 89)
- Author : Baidar Bakht
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.