tanhai
miTte ubharte chehroñ ke dariyā meñ
bante bigaḌte rishtoñ ke tūfān ke biich
ek jazīra hai ki jahāñ par
ḳhud ko DhūñD nikālā maiñ ne
ḳhud ko chahakte dekhā maiñ ne
ḳhud ko mahakte paayā maiñ ne
dar na darīcha
dīvār na chhat
mujh se milne aa sakte ho jab chāho
par yaad rahe
tum ko apnā jism utaar ke aanā hogā sāhil par
miTte ubharte chehron ke dariya mein
bante bigaDte rishton ke tufan ke bich
ek jazira hai ki jahan par
KHud ko DhunD nikala main ne
KHud ko chahakte dekha main ne
KHud ko mahakte paya main ne
dar na daricha
diwar na chhat
mujh se milne aa sakte ho jab chaho
par yaad rahe
tum ko apna jism utar ke aana hoga sahil par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.