tanhai
apnī yaad letī jaao
ab na rakh sakūñgā maiñ
us ko merī tanhā.ī
saath rakh nahīñ saktī
mujh ko merī tanhā.ī
baar baar kahtī hai
us se merā kyā rishta
us se merī ban paa.e
ye kabhī nahīñ mumkin
raat din bigaḌtī hai
laḌtī hai jhagaḌtī hai
jāntī huuñ maiñ lekin
us ke bas meñ rahtā huuñ
raat phir ye jhagḌā thā
laakh us ko samjhāyā
aa paḌī hai zid aisī
kah uThī thī jhallā kar
mānte nahīñ to phir
tum se dostī kaisī
utnā vo bigaḌtī hai
jitnā us ko kahtā huuñ
letī jaao yaad apnī
ab na rakh sakūñgā maiñ
apnī yaad letī jaao
apni yaad leti jao
ab na rakh sakunga main
us ko meri tanhai
sath rakh nahin sakti
mujh ko meri tanhai
bar bar kahti hai
us se mera kya rishta
us se meri ban pae
ye kabhi nahin mumkin
raat din bigaDti hai
laDti hai jhagaDti hai
jaanti hun main lekin
us ke bas mein rahta hun
raat phir ye jhagDa tha
lakh us ko samjhaya
aa paDi hai zid aisi
kah uThi thi jhalla kar
mante nahin to phir
tum se dosti kaisi
utna wo bigaDti hai
jitna us ko kahta hun
leti jao yaad apni
ab na rakh sakunga main
apni yaad leti jao
- Book : Mauje Aariz (Pg. 52)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.