tanhai
shaam bojhal sī
ghane peḌ se āñgan meñ utar aa.ī hai
dafn hone ko hai be-nām sā din
jis se riste haiñ lahū rañg shafaq ke dhabbe
phailte jaate haiñ gahre bādal
jaise ehsās-e-gunah
zard murjhā.ī akelī qindīl
nauha uñDeltī sozish kī safīr
jism dīvār pe sāyoñ meñ baTā
TuuTī ummīd kī giryāñ tasvīr
aur ab raat ne karvaT badlī
gahre sannāTe kī ḳhāmosh karāh
jaise phir zaḳhm ke Tāñke jaage
lamha lamha ke Tapakne kī sadā aatī hai
sham bojhal si
ghane peD se aangan mein utar aai hai
dafn hone ko hai be-nam sa din
jis se riste hain lahu rang shafaq ke dhabbe
phailte jate hain gahre baadal
jaise ehsas-e-gunah
zard murjhai akeli qindil
nauha unDelti sozish ki safir
jism diwar pe sayon mein baTa
TuTi ummid ki giryan taswir
aur ab raat ne karwaT badli
gahre sannaTe ki KHamosh karah
jaise phir zaKHm ke Tanke jage
lamha lamha ke Tapakne ki sada aati hai
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 14)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.