tanhai
sūkhe shajar se
hare peḌ tak kā har mausam
akelā hai
jaḌ Tahnī
shāḳh shagūfe
ye chahchahe ye nighateñ
ye rang Dhang kī
mahfileñ
mere safar meñ nahīñ
ho sake
to paḌh lenā
shafaq dhanak
bādal bārish
dosh-e-havā
aur dast-e-jabīñ par bhī likhā hai
tanhā.ī
sukhe shajar se
hare peD tak ka har mausam
akela hai
jaD Tahni
shaKH shagufe
ye chahchahe ye nighaten
ye rang Dhang ki
mahfilen
mere safar mein nahin
ho sake
to paDh lena
shafaq dhanak
baadal barish
dosh-e-hawa
aur dast-e-jabin par bhi likha hai
tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.