Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare bhi hain mehrban

Shaukat Jamal

hamare bhi hain mehrban

Shaukat Jamal

MORE BYShaukat Jamal

    in ko ham apnā dost likheñ āshnā likheñ

    hamdam likheñ rafīq likheñ ham-navā likheñ

    sher-o-adab se un ko ta.alluq hai kis qadar

    tāqat kahāñ qalam meñ ki ye mājrā likheñ

    likhne meñ kuchh na kuchh haiñ vo masrūf rāt-din

    kāġhaz qalam davāt meñ un ko fanā likheñ

    naqd-o-nazar meñ hai vo mahārat ke ham unheñ

    iqlīm-e-nazm-o-nasr farmāñ-ravā likheñ

    yaktā ho apne fan meñ likhāḌī huā kare

    dil ko nahīñ lagā to use sar-phirā likheñ

    tahtus-surā se arsh-e-barīñ ek aan meñ

    pahuñche vo ḳhush-nasīb jise marhabā likheñ

    itnā ham likheñ ki samajh paa.eñ vo use

    un pahuñch se ham na kabhī māvarā likheñ

    saaqī aur sharāb ho zikr baar baar

    zāhid ko bhuul kar na kabhī pārsā likheñ

    mahbūb ke bayāñ meñ ho lāzim mubālaġha

    chehre ko phuul zulf ko ham azhdahā likheñ

    mumkin nahīñ ġhazab se bacheñ ham janāb ke

    bālishtiyoñ ko bhī na agar sarv likheñ

    lāzim hai ham pe ham jo likheñ bahr meñ rahe

    ham-vazn-o-ham-radīf likheñ qāfiya likheñ

    likhne meñ ehtiyāt se ham kaam leñ magar

    jo un ke meñ aa.e use barmalā likheñ

    likkhe muqaddama to musannif ba-qalam-e-ḳhud

    lekin hai ye aTal ki vahī faisla likheñ

    do jildeñ is liye unheñ bhejīñ kitāb

    be-lāg apnī raa.e likheñ tabsira likheñ

    bole vo dekh kar mirā majmūa-e-kalām

    pahle pe kyā likhūñ chaleñ ab dūsrā likheñ

    in ko hum apna dost likhen aashna likhen

    hamdam likhen rafiq likhen ham-nawa likhen

    sher-o-adab se un ko talluq hai kis qadar

    taqat kahan qalam mein ki ye majra likhen

    likhne mein kuchh na kuchh hain wo masruf raat-din

    kaghaz qalam dawat mein un ko fana likhen

    naqd-o-nazar mein hai wo mahaarat ke hum unhen

    iqlim-e-nazm-o-nasr ka farman-rawa likhen

    yakta ho apne fan mein likhaDi hua kare

    dil ko nahin laga to use sar-phira likhen

    tahtus-sura se arsh-e-barin ek aan mein

    pahunche wo KHush-nasib jise marhaba likhen

    itna hi hum likhen ki samajh paen wo use

    un ki pahunch se hum na kabhi mawara likhen

    saqi ka aur sharab ka ho zikr bar bar

    zahid ko bhul kar na kabhi parsa likhen

    mahbub ke bayan mein ho lazim mubaalagha

    chehre ko phul zulf ko hum azhdaha likhen

    mumkin nahin ghazab se bachen hum janab ke

    baalishtiyon ko bhi na agar sarw sa likhen

    lazim hai hum pe hum jo likhen bahr mein rahe

    ham-wazn-o-ham-radif likhen qafiya likhen

    likhne mein ehtiyat se hum kaam len magar

    jo un ke ji mein aae use barmala likhen

    likkhe muqaddama to musannif ba-qalam-e-KHud

    lekin hai ye aTal ki wahi faisla likhen

    do jilden is liye unhen bhejin kitab ki

    be-lag apni rae likhen tabsira likhen

    bole wo dekh kar mera majmua-e-kalam

    pahle pe kya likhun chalen ab dusra likhen

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now