Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nam kar gaya

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    ifshā-e-rāz yaar sar-e-ām kar gayā

    nāmūs-e-dostī ko vo nīlām kar gayā

    rusvā.iyoñ ke saath vo logoñ ke qarz

    anmol jā.edād mire naam kar gayā

    pahlī raat aañkh churā kar sanam mirā

    āġhāz meñ vāqif-e-anjām kar gayā

    saaqī ne mai-kade meñ mirī jeb kaaT

    rindoñ meñ mujh ko banda-e-be-dām kar gayā

    zāhid aaj sālgirah hai to dekhiye

    kaisā sharīf aadmī kyā kaam kar gayā

    maġhrib se pahle de ke hameñ dāvat-e-nashāt

    piine intizām sar-e-shām kar gayā

    tauba na toḌne mirī saarī koshisheñ

    sāqī-e-tishna-kām nākām kar gayā

    ye vāqi.a hai dost mirā mire naam se

    mash.hūr ḳhud huā mujhe be-nām kar gayā

    daulat ne us ke husn ke sau aib chhupā.e

    iflās mere fan ko bhī gumnām kar gayā

    chehre pe kam-sinī meñ thī jhāḌū phirī huī

    aaya shabāb aur unheñ gulfām kar gayā

    shohrat shauq had se baḌhā jab bhī 'ḳhvāh-maḳhvāh'

    mash.hūr shaḳhsiyat ko bhī gumnām kar gayā

    'ġhālib' ke sher mere taḳhallus se joḌ kar

    ik shaḳhs 'ḳhvāh-maḳhvāh' mujhe badnām kar gayā

    ifsha-e-raaz yar sar-e-am kar gaya

    namus-e-dosti ko wo nilam kar gaya

    ruswaiyon ke sath wo logon ke qarz ki

    anmol jaedad mere nam kar gaya

    pahli hi raat aankh chura kar sanam mera

    aaghaz hi mein waqif-e-anjam kar gaya

    saqi ne mai-kade mein meri jeb kaT li

    rindon mein mujh ko banda-e-be-dam kar gaya

    zahid ki aaj salgirah hai to dekhiye

    kaisa sharif aadmi kya kaam kar gaya

    maghrib se pahle de ke hamein dawat-e-nashat

    pine ka intizam sar-e-sham kar gaya

    tauba na toDne ki meri sari koshishen

    saqi-e-tishna-kaam hi nakaam kar gaya

    ye waqia hai dost mera mere nam se

    mashhur KHud hua mujhe be-nam kar gaya

    daulat ne us ke husn ke sau aib chhupae

    iflas mere fan ko bhi gumnam kar gaya

    chehre pe kam-sini mein thi jhaDu phiri hui

    aaya shabab aur unhen gulfam kar gaya

    shohrat ka shauq had se baDha jab bhi 'KHwah-maKHwah'

    mashhur shaKHsiyat ko bhi gumnam kar gaya

    'ghaalib' ke sher mere taKHallus se joD kar

    ek shaKHs 'KHwah-maKHwah' mujhe badnam kar gaya

    Source:

    (Pg. 37)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now