tapish-e-ishq ya tir ki garmi
jis kisī ne in dinoñ koī davā ījād kī
bas ye samjho us ne ik bastī na.ī ābād kī
phoḌ kar sar jail meñ be-chāra majnūñ mar gayā
aur sadā.eñ har taraf haiñ yaar zindabād kī
kyā batā.ūñ ai tabībo ishq kī tum ko tapish
bas samajh lo jaise garmī tiir aur ḳhurdād kī
lījiye aa.e haiñ majnūñ mujh ko dene dars-e-ishq
aap kī sūrat to dekho hat tire ustād kī
qarz to be-shak liyā par ham ne kis kis se liyā
yaad kuchh aatā nahīñ ye kaifiyat hai yaad kī
qais āḳhir mar gayā soz-e-darūn-e-ishq se
khā ga.ī afsos us paude ko garmī khaad kī
dekhnā āḳhir sar-e-bāzār rusvā kar diyā
roz vaa.iz tum duā māñgā karo aulād kī
mādar-e-gītī ne 'ismat' kuchh mirī parvā na kī
saas kartī hai ḳhushāmad kahte haiñ dāmād kī
jis kisi ne in dinon koi dawa ijad ki
bas ye samjho us ne ek basti nai aabaad ki
phoD kar sar jail mein be-chaara majnun mar gaya
aur sadaen har taraf hain yar zindabaad ki
kya bataun ai tabibo ishq ki tum ko tapish
bas samajh lo jaise garmi tir aur KHurdad ki
lijiye aae hain majnun mujh ko dene dars-e-ishq
aap ki surat to dekho hat tere ustad ki
qarz to be-shak liya par hum ne kis kis se liya
yaad kuchh aata nahin ye kaifiyat hai yaad ki
qais aaKHir mar gaya soz-e-darun-e-ishq se
kha gai afsos us paude ko garmi khad ki
dekhna aaKHir sar-e-bazar ruswa kar diya
roz waiz tum dua manga karo aulad ki
madar-e-giti ne 'ismat' kuchh meri parwa na ki
sas karti hai KHushamad kahte hain damad ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.