taqaza-e-waqt
hamāre saath chalo ai paḌhe-likhe logo
chalo ki vaqt ke dhāre tumheñ bulāte haiñ
uTho ki sub.h ke nazzāre tumheñ jagāte haiñ
har ik sitāra-sifat raushnī kā parvarda
baḌhe ki aaj jahālat se jang lāzim hai
añdhere chāroñ taraf phailne lage haiñ bahut
ki zulm-o-jabr kā māhaul ham pe hākim hai
havā-e-zulm se shāḳhoñ meñ ik jhukāv sā hai
fazā meñ zahr hai sāñsoñ pe kuchh dabāo sā hai
so āshiyānoñ ko ab chhoḌnā zarūrī hai
samay ke paañv meñ zanjīr hai tanaffur kī
baḌho ki baḌh ke ise toḌnā zarūrī hai
zarā sā jauhar-e-'ilm-o-hunar se kaam to lo
khulā hai mai-kada-e-fikr aao jaam to lo
har ik zabān pe ulfat kī chāshnī dhar do
har ek dil meñ mohabbat kī raushnī bhar do
hamāre saath chalo ai paḌhe-likhe logo
qalam se likkho na.ī sub.h ke na.e naġhme
har ek giit ko mazlūm kī sadā kar do
uTho aur uTh ke kitāboñ kā haq adā kar do
hamare sath chalo ai paDhe-likhe logo
chalo ki waqt ke dhaare tumhein bulate hain
uTho ki subh ke nazzare tumhein jagate hain
har ek sitara-sifat raushni ka parwarda
baDhe ki aaj jahaalat se jang lazim hai
andhere chaaron taraf phailne lage hain bahut
ki zulm-o-jabr ka mahaul hum pe hakim hai
hawa-e-zulm se shaKHon mein ek jhukaw sa hai
faza mein zahr hai sanson pe kuchh dabao sa hai
so aashiyanon ko ab chhoDna zaruri hai
samay ke panw mein zanjir hai tanaffur ki
baDho ki baDh ke ise toDna zaruri hai
zara sa jauhar-e-'ilm-o-hunar se kaam to lo
khula hai mai-kada-e-fikr aao jam to lo
har ek zaban pe ulfat ki chashni dhar do
har ek dil mein mohabbat ki raushni bhar do
hamare sath chalo ai paDhe-likhe logo
qalam se likkho nai subh ke nae naghme
har ek git ko mazlum ki sada kar do
uTho aur uTh ke kitabon ka haq ada kar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.