taqayya
so ab ye shart-e-hayāt Thahrī
ki shahar ke sab najīb afrād
apne apne lahū kī hurmat se munharif ho ke jiinā sīkheñ
vo sab aqīde ki in gharānoñ meñ
un kī āñkhoñ ke rañgtoñ kī tarah tasalsul se chal rahe the
sunā hai bātil qarār paa.e
vo sab vafādāriyāñ ki jin par lahū ke va.ade halaf hue the
vo aaj se maslahat kī ghaḌiyāñ shumār hoñgī
badan kī vābastagī kā kyā zikr
ruuh ke ahd-nāme tak fasḳh maane jaa.eñ
ḳhamoshī-o-maslahat-pasandī meñ ḳhairiyat hai
magar mire shahr-e-munharif meñ
abhī kuchh aise ġhayyūr-o-sādiq ba-qaid-e-jāñ haiñ
ki harf-e-inkār jin kī qismat nahīñ banā hai
so hākim-e-shahr jab bhī apne ġhulām-zāde
unheñ giraftār karne bheje
to saath meñ ek ek kā shajra-e-nasb bhī ravāna karnā
aur un ke hamrāh sard patthar meñ chunñe denā
ki aaj se jab
hazār-hā saal ba.ad ham bhī
kisī zamāne ke Tekslāyā haḌappa ban kar talāshe jaa.eñ
to us zamāne ke log
ham ko
kahīñ bahut kam-nasab na jāneñ
so ab ye shart-e-hayat Thahri
ki shahar ke sab najib afrad
apne apne lahu ki hurmat se munharif ho ke jina sikhen
wo sab aqide ki in gharanon mein
un ki aankhon ke rangton ki tarah tasalsul se chal rahe the
suna hai baatil qarar pae
wo sab wafadariyan ki jin par lahu ke wade halaf hue the
wo aaj se maslahat ki ghaDiyan shumar hongi
badan ki wabastagi ka kya zikr
ruh ke ahd-name tak fasKH mane jaen
KHamoshi-o-maslahat-pasandi mein KHairiyat hai
magar mere shahr-e-munharif mein
abhi kuchh aise ghayyur-o-sadiq ba-qaid-e-jaan hain
ki harf-e-inkar jin ki qismat nahin bana hai
so hakim-e-shahr jab bhi apne ghulam-zade
unhen giraftar karne bheje
to sath mein ek ek ka shajra-e-nasb bhi rawana karna
aur un ke hamrah sard patthar mein chunne dena
ki aaj se jab
hazar-ha sal baad hum bhi
kisi zamane ke Tekslaya haDappa ban kar talashe jaen
to us zamane ke log
hum ko
kahin bahut kam-nasab na jaanen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.