taqdir-e-bhaarat
bigaḌ jaatī hai kyuuñ ban ban ke har tadbīr bhārat kī
banā de yā ḳhudā bigḌī huī taqdīr bhārat kī
bhaḌak ai ātish-e-ġhairat uchhal ai josh-e-āzādī
ki ab ham se sahī jaatī nahīñ tahqīr bhārat kī
jafā-kāro sambhal jaao jalā kar ḳhaak kar degī
hamāre dil se uTh kar āh-e-pur-tāsīr bhārat kī
nahīf-o-zār pāband-e-salāsil be-zar-o-be-par
hai kitnī jāñ-gudāz-o-dil-shikan tasvīr bhārat kī
musībat kī ghaḌī hai dard-mandān-e-vatan aao
ḳhabar lo zaḳhm-ḳhurda ġham-zada dil-gīr bhārat kī
jo parvānoñ kī sūrat sham-e-āzādī pe jalte haiñ
baḌhā.eñge zamāne meñ vahī tauqīr bhārat kī
taḌap ho gar hamāre dil meñ 'sābir' bahr-e-āzādī
to ik jhaTke meñ rakh deñ toḌ kar zanjīr bhārat kī
bigaD jati hai kyun ban ban ke har tadbir bhaarat ki
bana de ya KHuda bigDi hui taqdir bhaarat ki
bhaDak ai aatish-e-ghairat uchhal ai josh-e-azadi
ki ab hum se sahi jati nahin tahqir bhaarat ki
jafa-karo sambhal jao jala kar KHak kar degi
hamare dil se uTh kar aah-e-pur-tasir bhaarat ki
nahif-o-zar paband-e-salasil be-zar-o-be-par
hai kitni jaan-gudaz-o-dil-shikan taswir bhaarat ki
musibat ki ghaDi hai dard-mandan-e-watan aao
KHabar lo zaKHm-KHurda gham-zada dil-gir bhaarat ki
jo parwanon ki surat sham-e-azadi pe jalte hain
baDhaenge zamane mein wahi tauqir bhaarat ki
taDap ho gar hamare dil mein 'sabir' bahr-e-azadi
to ek jhaTke mein rakh den toD kar zanjir bhaarat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.