taqsim-e-wazarat
minister mujh ko banvā do ḳhazāna-jāt kā māmūñ
hukūmat hī tumhārī hai to Dar kis baat kā māmūñ
maiñ kab kahtā huuñ U-S kī safārat chāhiye mujh ko
ḳhazāne aur khāne kī vazārat chāhiye mujh ko
ye merī chiiz hai ġhairoñ ko hathiyāne nahīñ dūñgā
maiñ custam kā idāra haath se jaane nahīñ dūñgā
zarā.at meñ bahū ko sho.aba-e-bāġhāt de do tum
aur apnī saas ko bhī jail-ḳhāna-jāt de do tum
chachī ko media de do chachā ko railway de do
tumhārā jo muḳhālif ho tum us ko jail-way de do
bahut hī kā.iyāñ ho jo use c.i.a de do
jo ho sab se nikammā tum use p.i.a de do
vazīr-e-āb kā mansab dikhāne ke liye rakh lo
qalam-dān-e-zarā.at samdhiyāne ke liye rakh lo
minister-health abbā ko banā do ab ye sūrat hai
bahut bīmār haiñ un ko davāoñ kī zarūrat hai
jise piine kī aadat ho use pī kar banā denā
jo kuchh bhī ban na paa.e us ko speaker banā denā
haj o auqāf bhī koī vazārat meñ vazārat hai
namāzeñ hī namāzeñ haiñ tahārat hī tahārat hai
ye gañgā mulk meñ ulTī hī bahnī chāhiye māmūñ
ye kābīna hamāre ghar meñ rahnī chāhiye māmūñ
minister mujh ko banwa do KHazana-jat ka mamun
hukumat hi tumhaari hai to Dar kis baat ka mamun
main kab kahta hun U-S ki safarat chahiye mujh ko
KHazane aur khane ki wazarat chahiye mujh ko
ye meri chiz hai ghairon ko hathiyane nahin dunga
main custam ka idara hath se jaane nahin dunga
zaraat mein bahu ko shoaba-e-baghat de do tum
aur apni sas ko bhi jail-KHana-jat de do tum
chachi ko media de do chacha ko railway de do
tumhaara jo muKHalif ho tum us ko jail-way de do
bahut hi kaiyan ho jo use cia de do
jo ho sab se nikamma tum use pia de do
wazir-e-ab ka mansab dikhane ke liye rakh lo
qalam-dan-e-zaraat samdhiyane ke liye rakh lo
minister-health abba ko bana do ab ye surat hai
bahut bimar hain un ko dawaon ki zarurat hai
jise pine ki aadat ho use pi kar bana dena
jo kuchh bhi ban na pae us ko speaker bana dena
haj o auqaf bhi koi wazarat mein wazarat hai
namazen hi namazen hain tahaarat hi tahaarat hai
ye ganga mulk mein ulTi hi bahni chahiye mamun
ye kabina hamare ghar mein rahni chahiye mamun
- Book : No Problem (Pg. 121)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.