taqwa
bahut ayyār the vo log
vo saarā din ḳhudā ko yaad karte
masjidoñ meñ jaate
rote giḌgiḌāte aur tasbīheñ paḌhā karte
zamāna mo'taqid thā is qadar un kā
vo jab bāhar nikalte
log un ke rāste kī gard ko
apne amāmoñ se haTāte the
un kī ḳhātir ḳhvān par nemat sajāte the
magar
jab raat aatī aur andhere har dar o dīvār par
ḳheme apne nasab kar lete
dākuoñ kā bhes
luuT lete aabrū
maal o zar laal o guhar
aur phir vo sub.h-dam
sidq o safā kā dars dete
aur sabr-o-razā kī shahr ko talqīn karte
aur phir masrūf ho jaate
ibādat meñ vo apnī
unheñ shaddād kī jannat
ilāhī kī razā se chāhiye thī
bahut ayyar the wo log
wo sara din KHuda ko yaad karte
masjidon mein jate
rote giDgiDate aur tasbihen paDha karte
zamana mo'taqid tha is qadar un ka
wo jab bahar nikalte
log un ke raste ki gard ko
apne amamon se haTate the
un ki KHatir KHwan par nemat sajate the
magar
jab raat aati aur andhere har dar o diwar par
KHeme apne nasab kar lete
dakuon ka bhes
luT lete aabru
mal o zar lal o guhar
aur phir wo subh-dam
sidq o safa ka dars dete
aur sabr-o-raza ki shahr ko talqin karte
aur phir masruf ho jate
ibaadat mein wo apni
unhen shaddad ki jannat
ilahi ki raza se chahiye thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.