tarana-e-milli
Interesting Fact
From Part-3. 1908 (Bang-e-Dara)
chīn-o-arab hamārā hindostāñ hamārā
muslim haiñ ham vatan hai saarā jahāñ hamārā
tauhīd kī amānat sīnoñ meñ hai hamāre
āsāñ nahīñ miTānā nām-o-nishāñ hamārā
duniyā ke but-kadoñ meñ pahlā vo ghar ḳhudā kā
ham is ke pāsbāñ haiñ vo pāsbāñ hamārā
teġhoñ ke saa.e meñ ham pal kar javāñ hue haiñ
ḳhanjar hilāl kā hai qaumī nishāñ hamārā
maġhrib kī vādiyoñ meñ gūñjī azaañ hamārī
thamtā na thā kisī se sail-e-ravāñ hamārā
bātil se dabne vaale ai āsmāñ nahīñ ham
sau baar kar chukā hai tū imtihāñ hamārā
ai gulistān-e-undulus vo din haiñ yaad tujh ko
thā terī Dāliyoñ meñ jab āshiyāñ hamārā
ai mauj-e-dajla tū bhī pahchāntī hai ham ko
ab tak hai terā dariyā afsāna-ḳhvāñ hamārā
ai arz-e-pāk terī hurmat pe kaT mare ham
hai ḳhuuñ tirī ragoñ meñ ab tak ravāñ hamārā
sālār-e-kārvāñ hai mīr-e-hijāz apnā
is naam se hai baaqī ārām-e-jāñ hamārā
'iqbāl' kā tarāna bāñg-e-darā hai goyā
hotā hai jāda-paimā phir kārvāñ hamārā
chin-o-arab hamara hindostan hamara
muslim hain hum watan hai sara jahan hamara
tauhid ki amanat sinon mein hai hamare
aasan nahin miTana nam-o-nishan hamara
duniya ke but-kadon mein pahla wo ghar KHuda ka
hum is ke pasban hain wo pasban hamara
teghon ke sae mein hum pal kar jawan hue hain
KHanjar hilal ka hai qaumi nishan hamara
maghrib ki wadiyon mein gunji azan hamari
thamta na tha kisi se sail-e-rawan hamara
baatil se dabne wale ai aasman nahin hum
sau bar kar chuka hai tu imtihan hamara
ai gulistan-e-undulus wo din hain yaad tujh ko
tha teri Daliyon mein jab aashiyan hamara
ai mauj-e-dajla tu bhi pahchanti hai hum ko
ab tak hai tera dariya afsana-KHwan hamara
ai arz-e-pak teri hurmat pe kaT mare hum
hai KHun teri ragon mein ab tak rawan hamara
salar-e-karwan hai mir-e-hijaz apna
is nam se hai baqi aaram-e-jaan hamara
'iqbaal' ka tarana bang-e-dara hai goya
hota hai jada-paima phir karwan hamara
- Book : کلیات اقبال (Pg. 159)
- Author : علامہ اقبال
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.