tarana-e-reKHta
sar chaḌh ke boltā hai urdu zabāñ kā jaadū
hindostāñ kī miTTī ke āsmāñ kā jaadū
hindostāñ kā jaadū saare jahāñ kā jaadū
sar chaḌh ke boltā hai urdu zabāñ kā jaadū
jap-jāp jogiyoñ kā na.ara qalandaroñ kā
tahzīb mahfiloñ kī aur shor mai-kadoñ kā
kūche meñ dilbaroñ ke hañgāma āshiqoñ kā
ma.ashūq kī nigah ke tīr-o-kamāñ kā jaadū
dariyā haiñ 'mīr'-o-'ġhālib' har lab pe jo ravāñ haiñ
'faiz' o 'firāq' aur 'dāġh' har dil pe hukmarāñ haiñ
aur 'kirshn-chandr' 'manto' zinda kahāniyāñ haiñ
lafzoñ ke aa.ine meñ husn-e-bayāñ kā jaadū
duniyā dil-e-ghazal meñ mai-ḳhāna ishq kā hai
har ruuh vajd meñ hai har jism meñ nasha hai
ma.ashūq bandagī hai ma.ashūq hī ḳhudā hai
mandir kī ghanTiyoñ meñ bole azaañ kā jaadū
TuuTe hue diloñ ko joḌe rafūgarī se
joḌe tamām girheñ jazboñ kī sādgī se
rah jaa.eñ dost ban kar aa.eñ jo ajnabī se
daa.em mohabbatoñ ke āb-e-ravāñ kā jaadū
hindostāñ kā jaadū saare jahāñ kā jaadū
hindostāñ kā jaadū urdu zabāñ kā jaadū
hindostāñ kā jaadū saare jahāñ kā jaadū
sar chaḌh ke boltā hai.....
sar chaDh ke bolta hai urdu zaban ka jadu
hindostan ki miTTi ke aasman ka jadu
hindostan ka jadu sare jahan ka jadu
sar chaDh ke bolta hai urdu zaban ka jadu
jap-jap jogiyon ka nara qalandaron ka
tahzib mahfilon ki aur shor mai-kadon ka
kuche mein dilbaron ke hangama aashiqon ka
mashuq ki nigah ke tir-o-kaman ka jadu
dariya hain 'mir'-o-'ghaalib' har lab pe jo rawan hain
'faiz' o 'firaq' aur 'dagh' har dil pe hukmaran hain
aur 'kirshn-chandr' 'manto' zinda kahaniyan hain
lafzon ke aaine mein husn-e-bayan ka jadu
duniya dil-e-ghazal mein mai-KHana ishq ka hai
har ruh wajd mein hai har jism mein nasha hai
mashuq bandagi hai mashuq hi KHuda hai
mandir ki ghanTiyon mein bole azan ka jadu
TuTe hue dilon ko joDe rafugari se
joDe tamam girhen jazbon ki sadgi se
rah jaen dost ban kar aaen jo ajnabi se
daem mohabbaton ke aab-e-rawan ka jadu
hindostan ka jadu sare jahan ka jadu
hindostan ka jadu urdu zaban ka jadu
hindostan ka jadu sare jahan ka jadu
sar chaDh ke bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.