tarana-e-urdu
hogī gavāh ḳhāk-e-hindostāñ hamārī
is kī kiyāriyoñ se phūTī zabāñ hamārī
hindū hoñ yā musalmāñ īsā.ī hoñ ki sikh hoñ
urdu zabāñ ke ham haiñ urdu zabāñ hamārī
marnā bhī saath is ke jiinā bhī saath is ke
ham is ke haiñ muhāfiz ye pāsbāñ hamārī
'ḳhusrav' 'kabīr' 'tulsī' 'ġhālib' kī haiñ amānat
kyā be-nishān hogī pyārī zabāñ hamārī
qand-o-nabāt se hai baḌh kar miThās is kī
har daur meñ rahī hai ye dilsitāñ hamārī
is meñ tañke hue haiñ kitne hasīñ sitāre
qaumoñ kī kahkashāñ hai urdu zabāñ hamārī
phir chāhtā hai is ko daur-e-jahāñ miTānā
hogī raqam lahū se phir dāstāñ hamārī
haiñ jaañ se bhī ziyāda ham ko aziiz donoñ
hindostāñ hamārā urdu zabāñ hamārī
vo bhī to ek din thā ham mīr-e-kārvāñ the
taqlīd kar rahā thā har kārvāñ hamārī
ham to har ik zabāñ ko dete haiñ pyaar apnā
phir kis liye miTā.e koī zabāñ hamārī
ham zabt kī hadoñ se aage nikal chuke haiñ
kab tak ye āzmā.ish ai āsmāñ hamārī
'ejāz' mil ke gaa.eñ urdu kā sab tarāna
gūñje fazā meñ har-sū urdu zabāñ hamārī
hogi gawah KHak-e-hindostan hamari
is ki kiyariyon se phuTi zaban hamari
hindu hon ya musalman isai hon ki sikh hon
urdu zaban ke hum hain urdu zaban hamari
marna bhi sath is ke jina bhi sath is ke
hum is ke hain muhafiz ye pasban hamari
'KHusraw' 'kabir' 'tulsi' 'ghaalib' ki hain amanat
kya be-nishan hogi pyari zaban hamari
qand-o-nabaat se hai baDh kar miThas is ki
har daur mein rahi hai ye dilsitan hamari
is mein tanke hue hain kitne hasin sitare
qaumon ki kahkashan hai urdu zaban hamari
phir chahta hai is ko daur-e-jahan miTana
hogi raqam lahu se phir dastan hamari
hain jaan se bhi ziyaada hum ko aziz donon
hindostan hamara urdu zaban hamari
wo bhi to ek din tha hum mir-e-karwan the
taqlid kar raha tha har karwan hamari
hum to har ek zaban ko dete hain pyar apna
phir kis liye miTae koi zaban hamari
hum zabt ki hadon se aage nikal chuke hain
kab tak ye aazmaish ai aasman hamari
'ejaz' mil ke gaen urdu ka sab tarana
gunje faza mein har-su urdu zaban hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.