targhib
chilmanoñ ke us taraf jagmagātī zindagī
sāmne aa kar naqāb-e-ruḳh ko sarkātī huī
mujh se hañs kar kah rahī hai merā dāman thaam le
Dūbte taare numūd-e-sub.h se sahme hue
malgajī dhundlāhaToñ meñ jhilmilā kar kho ga.e
jāgtī āñkhoñ meñ ik guzrī huī duniyā liye
is taraf maiñ huuñ mire maazī kī baḌhtī dhund hai
dhuñdle dhuñdle naqsh lā-hāsil tamannāoñ kī raakh
raushnī ke dā.ere se duur yādoñ kā ḳhumār
ik taraf jaltī fasīloñ se dhuāñ uThtā huā
ik taraf āsūdgī-e-ārzū ke narm ḳhvāb
ḳham-ba-ḳham rāheñ safar kī gard meñ khoī huī
jaltī āñkhoñ meñ sunahre ḳhvāb-zāroñ ke sarāb
roz-o-shab ke jalte-bujhte dā.eroñ ko toḌ kar
aarzū kī vus.ateñ sahrā-ba-sahrā be-kanār
nā-tarāshīda chaTāneñ rāsta roke hue
ik sadā-e-bā-gasht apnī navāoñ kā javāb
ashk-hā-e-sub.h-gāhī se sahar khiltī huī
raat kī tārīkiyāñ dil ke lahū se lāla-zār
ek soz-e-ārzū anfās meñ rachtā huā
ek mub.ham dard dil kī ḳhalvatoñ meñ be-qarār
bas yahī sub.heñ yahī shāmeñ yahī be-nām dard
umr bhar kī jidd-o-johd-e-shauq kā hāsil rahe
tīra-baḳht āñkhoñ meñ aise ḳhvāb ke paikar base
jin se muñh moḌūñ to har āsā.ish-e-duniyā mile
chilmanoñ ke is taraf se jagmagātī zindagī
sāmne aa kar naqāb-e-ruḳh ko sarkātī huī
mujh se hañs kar kah rahī hai merā dāman thaam le
chilmanon ke us taraf jagmagati zindagi
samne aa kar naqab-e-ruKH ko sarkati hui
mujh se hans kar kah rahi hai mera daman tham le
Dubte tare numud-e-subh se sahme hue
malgaji dhundlahaTon mein jhilmila kar kho gae
jagti aankhon mein ek guzri hui duniya liye
is taraf main hun mere mazi ki baDhti dhund hai
dhundle dhundle naqsh la-hasil tamannaon ki rakh
raushni ke daere se dur yaadon ka KHumar
ek taraf jalti fasilon se dhuan uThta hua
ek taraf aasudgi-e-arzu ke narm KHwab
KHam-ba-KHam rahen safar ki gard mein khoi hui
jalti aankhon mein sunahre KHwab-zaron ke sarab
roz-o-shab ke jalte-bujhte daeron ko toD kar
aarzu ki wusaten sahra-ba-sahra be-kanar
na-tarashida chaTanen rasta roke hue
ek sada-e-ba-gasht apni nawaon ka jawab
ashk-ha-e-subh-gahi se sahar khilti hui
raat ki tarikiyan dil ke lahu se lala-zar
ek soz-e-arzu anfas mein rachta hua
ek mubham dard dil ki KHalwaton mein be-qarar
bas yahi subhen yahi shamen yahi be-nam dard
umr bhar ki jidd-o-johd-e-shauq ka hasil rahe
tira-baKHt aankhon mein aise KHwab ke paikar base
jin se munh moDun to har aasaish-e-duniya mile
chilmanon ke is taraf se jagmagati zindagi
samne aa kar naqab-e-ruKH ko sarkati hui
mujh se hans kar kah rahi hai mera daman tham le
- Book : naqsh-e-bar aab (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.