targhib
pyāre sūraj
tum to apnā chehra
āsmān par tairte tāroñ ke ā.īnoñ hī meñ DhūñDte rahte ho
par merī bhī ik baat suno
ye jo aañkh meñ raushan taare haiñ
aur ye jo gāloñ par bahte hue taare haiñ
aur ye jo phuul phuul kī pattī pattī par Thahre hue taare haiñ
aur ye jo ret se jhāñkte taare haiñ
aur ye jo nadiyā kī lahroñ par nāchte aur nahāte taare haiñ
ye taare bhī ā.īne haiñ
aur merī zamīn ke ye ā.īne
pyāre sirf tumhāre haiñ
pyare suraj
tum to apna chehra
aasman par tairte taron ke aainon hi mein DhunDte rahte ho
par meri bhi ek baat suno
ye jo aankh mein raushan tare hain
aur ye jo galon par bahte hue tare hain
aur ye jo phul phul ki patti patti par Thahre hue tare hain
aur ye jo ret se jhankte tare hain
aur ye jo nadiya ki lahron par nachte aur nahate tare hain
ye tare bhi aaine hain
aur meri zamin ke ye aaine
pyare sirf tumhaare hain
- Book : Pakistani Adab (Pg. 235)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.